Kisi Ko Pyaar Itna Dena Ki Koi Had Na Rahe; Magar Aitbaar Bhi Itna Rakhna Ki Koi Shak Na Rahe; Wafa Itni Karna Ki Bewafai Na Ho; Aur Dua Bas Itni Karna Ki Kabhi Judai Na Ho! |
Paya Tumko To Hum Ko Laga Tumko Kho Diya; Hum Dil Pe Roye Aur Yeh Dil Hum Pe Ro Diya; Kyon Is Ke Fansle Hume Manzoor Ho Gaye; Kitne Hue Kareeb Ke Hum Door Ho Gaye! |
Tanhaiyon Mein Muskurana Ishq Hai; Kisi Baat Ko Sab Se Chupana Ishq Hai; Yun To Neend Nahi Aati Humein Raat - Raat Bhar; Magar Sote - Sote Jagna Aur Phir Jaagte - Jaagte Sona Hi Ishq Hai! |
Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye; Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye; Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein; Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye; Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Kee Zidd Karein; Bachhe Hamare Ahad Ke Chalaak Ho Gaye; Lehra Rahi Hai Barf Kee Chaadar Hata Ke Ghaas; Suraj Kee Sheh Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye; Basti Mein Jitne Aab-Gazida The Sab Ke Sab; Dariya Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye; Suraj Dimag Log Bhi Ablaagh-e-Fikar Mein; Zulf-e-Shab-e-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye; Jab Bhi Gharib-e-Shehar Se Kuch Guftguu Hui; Lahje Hawa-e-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye! |
Ye Jabr Bhi Dekha Hai Tareekh Kee Nazron Ne; Lamhon Ne Khataa Kee Thi Sadiyon Ne Saza Payi! |
Aapka Intezar Humein Har Pal Rehta Hai; Har Lamha Humein Aapka Ehsas Rehta Hai; Aap Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain; Kyonki Aap Hamare Dil Mein Hamari Dhadkan Banke Rehte Ho! |
Mohabbat Aankhon Se Nikle Ashkon Ko Moti Bana Deti Hai; Mohabbat Gehre Zakhmon Par Bhi Marham Laga Deti Hai; Jab Jeene Kee Koi Bhi Wajah Hi Na Bachi Ho; Tab Mohabbat Maut Ko Bhi Zindagi Bana Deti Hai! |
Ruthi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum; Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum; Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To; Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum! |
Door Se Aaye The Saqi Door Se Aaye The Saqi Sun Ke Maykhane Ko Hum; Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum; May Bhi Hai, Meena Bhi Hai, Sagar Bhi Hai Saqi Nahi; Dil Mein Aata Hai Laga Den, Aag Maykhane Ko Hum; Humko Phansna Tha Kafaz Mein, Kya Gila Sayyad Ka; Bas Taraste Hi Rahe Hain, Aab Aur Daane Ko Hum; Baag Mein Lagta Nahi Sehara Mein Ghabrata Hai Dil; Ab Kahan Le Jaake Bithayein Aise Deewane Ko Hum; Taak-e-Aabru Mein Sanam Ke Kya Khudayi Reh Gayi; Ab To Pujenge Usi Kaafir Ke Butkhane Ko Hum; Kya Hui Takseer Hum Se, Tu Bata De Ai 'Nazeer' Taaki Shadi Marg Samajhe, Aise Mar Jaane Ko Hum! |
Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar; Ai Ishq Hum To Ab Tere Kaabil Nahi Rahe! |