Har Ek Jazbat Ko Zubaan Nahi Milti; Dil Ki Har Ek Aarzoo Ko Dua Nahi Milti; Muskan Banaye Rakho To Duniya Sath Hai; Warna Aansuo Ko Bhi Aankho Mein Panah Nahi Milti! |
Mohabbat Ke Bhi Kuch Andaaz Hote Hain; Jaagti Aankoh Me Bhi Kuch Khawab Hote Hain; Zaroori Nahi Ki Gham Me Aansu Nikle; Mushkurati Aankho Me Bhi Sailab Hote Hain! |
Phir Aaj Ashk Se Ankhon Mein Kyun Hain Aye Hue; Guzar Gya Hai Zamaana Tujhe Bhulaaye Hue! |
Yeh Jo Doobi Hain Meri Ankhein Ashkon Ke Dariya Mein; Yeh Matti Ke Puttalon Par Bharose Ki Saza Hai! |
Kashti Abhi Umeed Ki Doobi Toh Nahi Hai; Phir Kyo Teri Aankhon Mein Ye Toofan Hain Mohsin; Munhasir Ehl-e-Sitam Par Hi Nahi'n Hai Mohsin; Log Apno'n Ki Enayat Se Bhi Mar Jate Hain! |
Dekh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pay Iqbal; Jo Lahoo Se Tameer Huye Thay, Paani Se Bah Gaye! |
Hajoom Mein Tha, Woh Khul Kar Na Ro Saka Ho Ga; Magar Yakeen Hai Ke Shab Bhar Na So Saka Ho Ga! |
Us Ki Chahat Ka Bharam Kya Rakhna; Dasht-e-Hijraan Mein Qadam Kya Rakhna; Hanss Bhi Lena Kabhi Khud Par Mohsin; Har Ghadi Aankh Ko Namm Kya Rakhna! |
Dil Main Har Raaz Dabaa Key Rakhtay Hain; Honton Pay Muskaan Sajaa Key Rakhtay Hain; Ye Duniya Sirf Khushee Mein Saath Daitee Hai; Iss Liye Hum Apnay Aansoo Chupaa Kay Rakhtey Hein! |
In Ko Nasir Na Kabhi Ankh Se Girne Dena; Un Ko Lagte Hain Meri Ankh Mein Pyare Aansu! |