Aur Zeyada Bharrkatey Ho Tum To Aag Mohabbat Ki; Sozish-e-Dil Ko Aye Ashko, Kya Khaak Bhujana Seekhey Ho! Translation: Sozish-E-Dil = Heartbreak Ashko = Tears |
Yoon Hi Ankhon Mein Aaa Gaye Aansoon; Jayiye Aap, Koi Baat Naheen! |
Ab Ke Saawan Mein Paani Barsa Bahut; Pani Ki Har Bund Mein Wo Aaye Yaad Bahut; Iss Suhane Mausam Mein Saath Nahi Koi; Baadalo Ke Sath Inn Aankho Se Pani Baha Bahut! |
Qasam Hai Tujhko Zahid Kya Kare Gar Koi Aankhon Se Dekhe; Chhalakna Saagar-e-Mai Ka, Chahekna Badah Khwaron Ka! |
Aankhon Mein Kaun Aake Ilahi Nikal Gaya; Kis Ki Talaash Mein Mere Ashk Rawaan Chale! |
Yeh Ashq Aankhon Mein Qasid Kis Liye Ekdam Nahin Thamta; Dil-e-Betaab Kaa Shayad Liye Maktoob Jaata Hai! |
Kitne Aansu Baha Diye Hain Iss Char Din Ki Mohabbat Mein; Kaash Sajde Mein Bahate To Aaj Gunahoan Se Paak Hote! |
Dekh Sakta Hai Bhala Kaun Yeh Pyaare Aansoon; Meri Ankhoon Mein Na Aa Jae Tumhare Aansoon! |
Sirf Chehre Ki Udaasi Se Bhar Aaye Ansoon; Dil Ka Alam To Abhi Aap Ne Dekha Hi Nahi! |
Qasid Ne Khabar Di Thi K Aeinge Shab Ko Woh; Chiragaan Itna Kia Hum Ne K Ghar Ko Jala Dala! |