Ashk Ka Qatra Aankhon Se Beh Gaya; Bahte-Bahte Dil Ka Kissa Keh Gaya; Bahut Mushkil Se Sambhala Tha Khud Ko; Tujhe Dekha To Bas Dekhta Reh Gaya! |
Ya Rab! Gam-E-Hijran Mein Itna To Kiya Hota; Jo Hath Jigar Pe Hai Wo Dast-E-Dua Hota! |
Apni Bebasi Par Aaj Rona Sa Aaya; Doosron Ko Nahi Maine Apno Ko Azmaaya; Har Dost Ki Tanhaayi Door Ki; Lekin Khud Ko Har Mod Par Tanha Hi Paya! |
Be Wajha Nahin Rota, Ishq Mein Koi Ghalib; Jisey Khudh Se Barr Ke Chaho, Woh Rulata Zaroor Hai! |
Muddat Baad Jo Ki Usne Lutf Ki Ik Nigaah; Dil To Khush Ho Gaya, Par Aaansu Nikal Pade! |
Barson Guzar Gaye Rokar Nahi Dekha; In Aankhon Ko Aansu Se Dhokar Nahi Dekha; Wo Kya Jaane Pyar Kya Chiz Hai; Jisne Kabhi Kisi Ko Kho Kar Nahi Dekha! |
Aansuon Ko Palkon Pe Laaya Na Kijiye; Dil Ki Baatein Har Kisi Ko Bataya Na Kijiye; Log Mutthi Mein Namak Liye Firte Hain; Apne Har Jakhm Dikhaya Na Kijiye! |
Rone De Tu Aaj Humko Aankhe Sujane De; Baho Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jane De; Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya Woh Chhot Jayega; Hai Itna Dard Ki Tera Daaman Bheeg Jayega! |
Rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhe Sujane De; Baho Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jane De; Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya Woh Chhoot Jayega; Hai Itna Dard Ke Tera Daaman Bheeg Jayega! |
Likhu Kya Aaj Waqt Ka Takaza Hai; Dard-e-Dil Abhi Taza-Taza Hai; Gir Pade Hain Aansu Mere Kagaz Pe Likhte Waqt; Lagta Hai Kalam Mein Syahi Kam Dil Mein Dard Jyada Hai! |