Agar Bhigne Ka Itna Hi Shonq Hai Baarish Main; To Dekho Na Meri Aankhon Main; Baarish To Har Ek Ke Liye Hoti Hai; Lekin Ye Aankhein Sirf Tumhare Liye Barasti Hain! |
Log Puchhte Hain, Kyun Surkh Hain Tumhari Aankhein; Hans Ke Keh Deti Hoon, Raat Ko So Na Saaki; Laakh Chahoon Bhi, Magar Ye Keh Na Sakoon; Raat Ko Rone Ki Hasrat Thi, Magar Ro Na Saki! |
Jab Kuchh Sapne Adhure Reh Jaate Hein; Tab Dil Ke Dard Aansu Ban Ke Beh Jaate Hein; Jo Kehte Hein Ke Hum Sirf Aap Ke Hein; Pata Nahi Kaise Alvida Keh Jaate hein! |
Ab Aansoonon Ko Aankhon Mein Sajana Hoga; Chirag Bujh Gaye, Khud Ko Jalana Hoga; Na Samajhna Ki Tumse Bichadke Khush Hain Hum; Hamein Logon Ki Khatir Muskurana Hoga! |
Kabhi Roo Kar Muskuraye, Kabhi Muskuraa Ke Roye; Jaab Bhi Teri Yaad Aai, Tujhee Bhula Kar Roye; Ek Tera Hi Toh Gam Tha, Jisse Hazaar Baar Likha; Jitna Likh Ke Khush Hue, Uss Se Jayada Mita Ke Roye! |
Kya Hoon Main Aur Kya Samajhte Hein; Sab Raaz Nahi Hote Batane Wale; Kabhi Tanhaiyon Mein Aakar Dekhna; Kaise Rote Hai Sabko Hasane Wale! |
Likhun Kuchh Aaj, Ye Waqt Ka Takaza Hai; Mere Dil Mein Dard, Abhi Taaza Hai; Gir Padte Hai Ashq, Mere Kagaz Par; Kalam Me Sayahi Kam Aur Aansoo Jyada Hein! |
Woh Nadiyan Nahi Aansu The Mere; Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe; Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri; Isliye Hum Aansu Bahate Rahe! |
Behte Aansu Ki Zabaan Nahi Hoti; Lafzo Mein Mohabbat Bayan Nahi Hoti; Mile Jo Pyaar Kisi Ka To Kadar Karna; Kismat Har Kisi Par Maherban Nahi Hoti! |
Wapsi Ka Safar Aab Mumkin Na Hoga; Hum Toh Nikal Chuke Hain Aankh See Aansu Ki Tarhan! |