Mana Ki Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi; Magar Tumhein Meri Mohabbat Ka Bhi To Ehsaas Nahi; Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham-e-Aansu; Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi! |
Sukoon Apne Dil Ka Maine Kho Diya Hai; Khud Ko Dard Ke Samandar Mein Dubo Diya Hai; Jo Thi Kabhi Mere Muskurane Ki Wajah; Aaj Uski Kami Ne Meri Palko Ko Bhigo Diya Hai! |
Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do; Behte Hain Ashk To Inhe Behne Do; Bewafai Shamil Na Karo Dosti Kee Raaho Mein; Kam Se Kam Dosti Ko To Dosti Rehne Do! |
Uski Yaadon Kee Barish Jab Bhi Barasti Hai Mujh Par; Main Bheegta To Jarur Hun Lekin Palkon Kee Had Tak! |
Iss Dil Ne Ab Pyaar Karna Chod Diya; Jis Din Se Tumne Yeh Dil Tod Diya; Ab To Ro Bhi Nahi Sakte Apni Bebasi Pe; Iss Liye In Aankhon Ne Ab Rona Bhi Chod Diya! |
Aaj Phir Mausam Num Hua Meri Aankhon Ki Tarah; Shayad Baadlon Ka Bhi Kisi Ne Dil Dukhaya Hoga! |
Teri Yaadon Ke Siva Kuch Bhi Nahi Hai; Khawab Har Raat Fir Sajana Padta Hai; Kahin Dekh Na Le Namm Ye Aankhein Koi; Aansuon Ko Aankhon Mein Chupana Padta Hai! |
Yeh Kya Ki Tujhe Bhi Hai Zamane Se Shikayat; Yeh Kya Ki Teri Aankh Bhi Pur Num Hai Meri Jaan! |
De Ga Agar Dard To Khud Bhi Doobay Ga; Woh Ek Shakss Jo Ankhon Me Rehta Hai! |
Phir Aaj Aansuyon Mein Nihaayi Hui Hai Raat; Shayed Hamari Tarah Hi Sataayi Hui Hai Raat! |