Jis Ahd Mein Lut Jaye Faqeeron Ki Kamai, Us Ahd Ke Sultan Se Kuch Bhool Hui Hai; Ai Adam Ke Musafiro Hoshiyar, Raah Mein Zindagi Khadi Hogi! |
Zubaan Khamosh, Aankhon Mei Nami Hogi, Yahi Bas Meri Ek Dastan-e-Zindagi Hogi; Bharne Ko To Har Zakham Bhar Jayega, Kaise Bharegi Wo Jagah Jahan Teri Kami Hogi! |
Zor Qismat Pe Chal Nahi Sakta; Khamoshi Ikhtiyar Karta Hun! |
Dekha Hai Zindagi Ko Kuch Itne Qareeb Se; Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ajeeb Se! |
Kaanton Se Dil Lagao Jo Ta-Umar Saath Den; Phoolon Ka Kya Jo Saans Ki Garmi Na Sah Saken! |
Kyon Maang Rahe Ho Kisi Barish Ki Duayein; Tum Apne Shikasta Dar-o-Deewar To Dekho! * Shikasta:Broken |
Dil Na Pahuncha Gosha-e-Daman Talak, Qatra-e-Khoon Tha Mizha Par Jam Raha; Sunte Hain Laila Ke Kheme Ko Siyah, Us Mein Majnun Ka Magar Matam Raha! |
Gham Raha Jab Tak Ki Dum Mein Dum Raha, Dil Ke Jaane Ka Nihayat Gham Raha; Husn Tha Tera Bahut Alam-Fareb, Khat Ke Aane Par Bhi Ik Aalam Raha! |
Nahi Ilaj-e-Gham-e-Hijr-e-Yaar Kya Kijiye; Tadap Raha Hai Dil-e-Be-Qarar Kya Kijiye! |
Kisi Ke Tum Ho Kisi Ka Khuda Hai Duniya Mein; Mere Naseeb Mein Tum Bhi Nahi Khuda Bhi Nahi! |