Aye Yaar Sun Yaari Teri Mujhe Zindagi Se Bhi Pyaari Hai; Jawab Hi Nahi Hamara Kahin Badi Khoob Jodi Hamari Hai! |
Waqt Ki Yaari Toh Har Koi Karta Hai Mere Dost; Maja Toh Tab Hai Jab Waqt Badal Jaye Par Yaar Na Badle! |
Suna Hai Khuda Ke Darbar Se, Kuch Farishtey Faraar Ho Gaye; Kuch to Vaapas Chale Gaye, Aur Kuch Humare Yaar Ho Gaye! |
Pyaar Aur Dosti Mein Itna Fark Paya Hai; Pyaar Ne Sahaara Diya Aur Dost Ne Nibhaaya Hai; Kis Rishte Ko Gehara Kahu; Ek Ne Zindagi Di Aur Dusre Ne Jeena Sikhaaya Hai! |
Ai Dost Humne Tark-E-Mohabbat Ke Bawajud, Mehsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi! |
Duriya Hote Hue Bhi Safar Vahi Rahega; Door Hote Hue Bhi Dostana Vahi Rahega; Bahot Mushkil Hai Yeh Safar Zindgi Ka; Agar Aapka Sath Hoga To Ehsaas Vahi Rahega! |
Zikar Hua Jab Khuda Ki Rehmaton Ka; Humne Khud Ko Khushnaseeb Paya; Tamanna Thi Ek Pyaare Se Dost Ki; Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya! |
Ishq Aur Dosti Mere Do Jahaan Hain; Ishq Meri Rooh To Dosti Mera Iman Hai; Ishq Par To Fida Kar Dun Apni Sari Zindagi; Magar Dosti Par To Mera Ishq Bhi Kurbaan Hai! |
Jaam Pe Jaam Peene Ka Kya Fayda; Sham Ko Pee, Subah Utar Jayegi; Are Peeni Hai To Do Boond Dosti Ke Pee; Sari Zindagi Fir Bas Nashe Mein Guzar Jayegi! |
Bahut Kuch Khoya, Bahut Kuch Paya; Kasam Se Zindagi Ne Bahut Hasaya, Bahut Hi Rulaya; Par Shikwa Nahi Zindagi Se Humein Koi; Kyonki Issi Ne Kuch Haseen Dosto Se Bii Milaya! |