Pyaar Aur Dosti Mein Itna Fark Paya Hai; Pyaar Ne Sahaara Diya Aur Dost Ne Nibhaaya Hai; Kis Rishte Ko Gehara Kahu; Ek Ne Zindagi Di Aur Dusre Ne Jeena Sikhaaya Hai! |
Ai Dost Humne Tark-E-Mohabbat Ke Bawajud, Mehsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi! |
Duriya Hote Hue Bhi Safar Vahi Rahega; Door Hote Hue Bhi Dostana Vahi Rahega; Bahot Mushkil Hai Yeh Safar Zindgi Ka; Agar Aapka Sath Hoga To Ehsaas Vahi Rahega! |
Zikar Hua Jab Khuda Ki Rehmaton Ka; Humne Khud Ko Khushnaseeb Paya; Tamanna Thi Ek Pyaare Se Dost Ki; Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya! |
Jaam Pe Jaam Peene Ka Kya Fayda; Sham Ko Pee, Subah Utar Jayegi; Are Peeni Hai To Do Boond Dosti Ke Pee; Sari Zindagi Fir Bas Nashe Mein Guzar Jayegi! |
Bahut Kuch Khoya, Bahut Kuch Paya; Kasam Se Zindagi Ne Bahut Hasaya, Bahut Hi Rulaya; Par Shikwa Nahi Zindagi Se Humein Koi; Kyonki Issi Ne Kuch Haseen Dosto Se Bii Milaya! |
Dosti Mein Dooriyan To Aati Rehti Hain; Phir Bhi Dosti Dilon Ko Mila Deti Hai; Woh Dost Hi Kya Jo Naraz Na Ho; Par Sachhi Dosti Doston Ko Mana Leti Hai! |
Taaza Mangein Hain Fasaane Hum Se; Jab Milein Hain Dost Puraane Hum Se! |
Raas Kyon Dosti Kisi Ki Ayi Na Humko; Hum Ne Har Taur Se Nibhaa Kar Dekhi! |
Hum Fakeeron Se Dosti Kar Lo; Gur Sikhaa Dain Ge Badshaahi Ke! |