Bichhad Ke Toh Khat Bhi Na Likhe Yaaron Ne; Kabhi Kabhi Ki Adhoori Si Baat Se Bhi Gaye! |
Dushmano Ki Jafaa Ka Khauf Nahin; Doston Ki Wafaa Se Darte Hain! |
Teri Dosti Mein Khud Ko Mehfooz Mante Hain; Hum Doston Mein Tumhein Sabse Azeez Mante Hain; Teri Dosti Ke Saeye Mein Zinda Hain; Hum Toh Tujhe Khuda Ka Diya Hua Taveez Mante Hain! |
Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do; Behte Hain Ashq To Inhe Behne Do; Bewafai Shamil Na Karo Dosti Ki Raahon Mein; Kam Se Kam Dosti Ko Toh Dosti Rehne Do! |
Hum Whiskey Nahi Pite, Hum Rum Bhi Nahi Pite; Hum Gam Bhulane Ke Naam Pe, Jaam Hi Nahi Pite; Aggar Mil Jaye Yaaron Ki Mehfil; To Khuda Ki Kasam, Hum Kisi Se Kam Nahi Pite! |
Hai Khabar Garam Unke Aane Ki; Aaj Hi Ghar Mein Borya Na Hua! |
Dosti Se Kimati Koi Jageer Nahi Hoti; Dosti Se Khubsurt Koi Tasveer Nahi Hoti; Dosti Yoon Toh Kacha Dhaga Hai Magar; Is Dhage Se Majboot Koi Zanjeer Nahi Hoti! |
Mujhko Aashiq Kahke Uske Roo Baroo Mat Kijiyo; Dostaan ! Gar Dost Ho To Yeh Kabho Mat Kijiyo! |
Mere Liye Meri Jaan Hai Teri Dosti; Zindagi Ka Har Armaan Hai Teri Dosti; Mujhko Na Koi Umeed Na Koi Shikwa Hai Zamane Se; Mujh Par Khuda Ka Ehsaan Hai Teri Dosti! |
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjthe Ho Faraz; Dost Hota Nahi Har Haath Milanay Waala! |