Manzilon Se Apni Darr Na Jana; Raaste Kee Preshaniyon Se Toot Na Jana; Jab Bhi Zarurat Ho Zindagi Mein Kisi Apne Kee; Hum Aapke Apne Hain Ye Bhool Na Jana! |
Dosti Mein Dooriyan To Aati Rehti Hain; Phir Bhi Dosti Dilon Ko Mila Deti Hai; Woh Dost Hi Kya Jo Naraz Na Ho; Par Sachhi Dosti Doston Ko Mana Leti Hai! |
Dost Ko Dost Ka Ishara Yaad Reheta Hai; Har Dost Ko Apna Dostana Yad Reheta Hai; Kuch Pal Sachhe Dost Ke Saath To Gujaro; Woh Afsana Maut Tak Yaad Rehta Hai! |
Teri Ulfat Kabhi Nakaam Na Hone Denge; Teri Dosti Kabhi Badnaam Na Hone Denge; Meri Zindagi Mein Suraj Nikle Na Nikle; Teri Zindagi Mein Kabhi Shaam Na Hone Denge! |
Taaza Mangein Hain Fasaane Hum Se; Jab Milein Hain Dost Puraane Hum Se! |
Doston Se Iss Qadar Sadme Uthaaye Jaan Par; Dil Se Dushman Ki Dushmani Ka Gilaa Jata Raha! |
Raas Kyon Dosti Kisi Ki Ayi Na Humko; Hum Ne Har Taur Se Nibhaa Kar Dekhi! |
Hum Fakeeron Se Dosti Kar Lo; Gur Sikhaa Dain Ge Badshaahi Ke! |
Bichhad Ke Toh Khat Bhi Na Likhe Yaaron Ne; Kabhi Kabhi Ki Adhoori Si Baat Se Bhi Gaye! |
Dushmano Ki Jafaa Ka Khauf Nahin; Doston Ki Wafaa Se Darte Hain! |