Kehte Toh Ho Yun Kehte, Yun Kehte Jo Yaar Aata; Sab Kehne Ki Baat Hai, Kuch Bhi Nahi Kaha Jata! |
Teri Dosti Mein Khud Ko Mehfooz Mante Hain; Hum Doston Mein Tumhein Sabse Azeez Mante Hain; Teri Dosti Ke Saeye Mein Zinda Hain; Hum Toh Tujhe Khuda Ka Diya Hua Taveez Mante Hain! |
Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do; Behte Hain Ashq To Inhe Behne Do; Bewafai Shamil Na Karo Dosti Ki Raahon Mein; Kam Se Kam Dosti Ko Toh Dosti Rehne Do! |
Hum Whiskey Nahi Pite, Hum Rum Bhi Nahi Pite; Hum Gam Bhulane Ke Naam Pe, Jaam Hi Nahi Pite; Aggar Mil Jaye Yaaron Ki Mehfil; To Khuda Ki Kasam, Hum Kisi Se Kam Nahi Pite! |
Hai Khabar Garam Unke Aane Ki; Aaj Hi Ghar Mein Borya Na Hua! |
Dosti Se Kimati Koi Jageer Nahi Hoti; Dosti Se Khubsurt Koi Tasveer Nahi Hoti; Dosti Yoon Toh Kacha Dhaga Hai Magar; Is Dhage Se Majboot Koi Zanjeer Nahi Hoti! |
Dosti Ka Jo Kiya Karte Hain Daawa Ehbaab; Waqt Padta Hai To Sab Aankh Chura Lete Hain! |
Jab Dosti Ki Dastaan Waqt Sunayega; Hum Ko Bhi Koi Shaks Yaad Ayega; Tab Bhool Jayenge Zindagi Ke Ghamon Ko; Jab Aap Ke Saath Guzra Waqt Yaad Aayega! |
Kamjoriya Na Dhoond Mujh Mein Dost Mere; Ek Tu Bhi To Shamil Hai Meri Kamzoriyon Mein! |
Mujhko Aashiq Kahke Uske Roo Baroo Mat Kijiyo; Dostaan ! Gar Dost Ho To Yeh Kabho Mat Kijiyo! |