Jo Dil Ke Ho Kareeb Use Ruswa Nahi Karte, Yun Apni Dosti Ka Tamasha Nahi Karte; Khamosh Rahoge Toh Ghutan Aur Badegi, Apno Se Koi Baat Chhupaya Nahi Karte! |
Mere Dost Ki Pehchan Yahi Kaafi Hai; Wo Har Shakhs Ko Danista Khafa Karta Hai! |
Ye Fitna Aadami Ki Khaana-Veerani Ko Kya Kam Hai; Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyon Ho! |
Dosti Apni Bhi Asar Rakhti Hai Faraz; Bahut Yaad Aayenge Zara Bhool Ke Dekho! |
Vaada Na Karo Agar Tum Nibha Na Sako; Chaho Na Usko Jise Tum Pa Na Sako; Dost To Duniya Mein Bahut Hote Hain, Par Ek Khaas Rakho Jiske Bina Tum Muskura Na Sako! |
Saanson Se Pyaari, Yaadein Hain Aapki; Dhadkan Se Pyaari, Baatein Hain Aapki; Tumhein Yakeen Ho Ya Na Ho; Lekin Is Zindagi Se Pyaari, Dosti Hai Aapki! |
Maangi Thi Dua Hum Ne Rab Se; Dena Mujhe Dost Jo Alag Ho Sabse; Usne Mila Diya Humein Aapse Aur Kaha; Sambhalo Inhe Ye Anmol Hai Sab Se! |
Maangi Thi Dua Humne Rab Se; Dena Mujhe Dost Jo Alag Ho Sabse; Usne Mila Diya Humein Aapse Aur Kaha; Sambhalo Inhe Yeh Anmol Hain Sab Se! |
Waqt Mile To Humein Yaad Kar Lena; Pal Pal Na Sahi Par Din Mein Ek Baar Kar Lena; Dost Honge Aapke Hazaaron Par; Hamara Sirf Ek Hai Bas Itna Khayal Kar Lena! |
Suna Hai Khuda Ke Darbar Se, Kuch Farishtey Faraar Ho Gaye; Kuch to Vaapas Chale Gaye, Aur Kuch Humare Yaar Ho Gaye! |