Waqt Ki Yaari To Har Koi Karta Hai Mere Dost; Maza To Tab Hai Jab Waqt Badal Jaye Par Yaar Na Badle! |
Aadatein Alag Hain Meri Duniya Walon Se; Dost Kam Rakhta Hun Par La-Jawaab Rakhta Hun! |
Ae Dost Main Teri Khushiyan Baantne Shayad Na Aa Saku, Haan Yeh Vaada Raha Jab Gham Aaye To Khabar Kar Dena Sare Ke Sare Le Jaunga! |
Main Hairan Hun Ki Kyon Us Se Hui Thi Dosti Apni; Mujhe Kaise Gawara Ho Gayi Thi Dushmani Apni! |
Kab Bhulaye Jaate Hain Dost Judaa Ho Kar Bhi Wasi; Dil Toot Toh Jaata Hai Rehta Phir Bhi Seene Mein Hai! |
Aapki Dosti Ki Ek Nazar Chahiye, Dil Hai Beghar Use Ek Ghar Chahiye; Bas Yun Hi Saath Chalte Raho Ae Dost, Yeh Dosti Humein Umar Bhar Chahiye! |
Rishton Se Badi Chahat Kya Hogi, Dosti Se Badi Ibadat Kya Hogi; Jise Dost Mil Jaye Aap Jaisa, Use Zindagi Se Shikayat Kya Hogi! |
Dushmano Ne Jo Dushmani Ki Hai; Doston Ne Bhi Kya Kami Ki Hai! |
Dushmano Ke Sath Mere Dost Bhi Azaad Hain; Dekhna Hai Khenchta Hai Mujh Pe Pehla Teer Kaun! |
Maza Aata Hai Kisi Ko Stanne Mein; Roothe Na Koi Toh, Maza Kya Manane Mein; Ek Doston Se Hi To Khushi Hai; Varna Rakha Kya Hai Iss Zindagi Aur Zamane Mein! |