Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa: Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa, Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa; Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh, Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa; Pehle Se Marasim Na Sahi Phir Bhi Kabhi To, Rasm-o-Rah-e-Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa; Kis Kis Ko Batayenge Judaai Ka Sabab Hum, Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamane Ke Liye Aa; Ik Umar Se Hun Lazzat-e-Girya Se Bhi Mehrum, Ai Rqhat-e-Jan Mujh Ko Rulane Ke Liye Aa; Ab Tak Dil-e-Khush-Fahm Ko Tujh Se Hain Ummeedein, Ye Aakhiri Shamein Bhi Bujhane Ke Liye Aa! |
Hum Se Pucho Ki Ghazal Kya Hai Ghazal Ka Fan Kya; Chand Lafzon Mein Koi Aag Chuppa Di Jaye! |
Dil Giraftaa Hi Sahi: Dil Giraftaa Hi Sahi Bazm Saja Li Jaye, Yaad-e-Janan Se Koi Shaam Na Khaali Jaye; Rafta-Rafta Yahi Zandaan Mein Badal Jate Hain, Ab Kisi Shehar Ki Buniyaad Na Daali Jaye; Mushaf-e-Rukh Hai Kisi Ka Ki Beyaaz-e-Hafiz, Aise Chehre Se Kabhi Faal Nikaali Jaye; Woh Murawwat Se Mila Hai To Jhukadun Gardan, Mere Dushman Ka Koi Waar Na Khaali Jaaye; Be-Nawaa Shehar Ka Saaya Hai Mere Dil Pe 'Faraz', Kis Tarah Se Meri Aashufta Khyaali Jaye! |
Dilon Mein Aag: Dilon Mein Aag Labon Pe Gulaab Rakhte Hain, Sab Apne Chehron Pe Dohre Naqaab Rakhte Hain; Humein Chirag Samajh Kar Bujha Na Paaoge, Hum Apne Ghar Mein Kayi Aaftaab Rakhte Hain; Bahut Se Log Ke Jo Harf-Aashna Bhi Nahi, Isee Mein Khush Hain Ke Teri Kitaab Rakhte Hain; Ye Maiqada Hai, Wo Masjid Hai, Wo Hai But-Khana, Kahin Bhi Jaao Farishte Hisaab Rakhte Hain; Humare Shahar Ke Manjar Na Dekh Payenge, Yahan Ke Log Aankhon Mein Khwab Rakhte Hain! |
Kabhi Aisi Toh Na Thi: Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi Toh Na Thi, Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi Toh Na Thi; Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar, Be-Qarari Tujhe Ae Dil Kabhi Aisi Toh Na Thi; Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadoo, Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi Toh Na Thi; Kya Sbab Tu Jo Bigarta Hai Zafar Se Har Bar, Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi Toh Na Thi! |
Charde Suraj: Charde Suraj Dhalde Vekhe, Bhuje Deewe Balde Vekhe; Heere Da Koi Mull Na Taare, Khote Sikke Chalde Vekhe; Jinha Da Na Jag Te Koi, Oh Vi Puttar Palde Vekhe; Ohdi Rehmat De Nal Bande, Pani Utte Chalde Vekhe; Loki Kehnde Daal Nahi Galdim, Main Te Patthar Galde Vekhe! |
Itni Bechaini Se Tumko: Itni Bechaini Se Tumko Kiski Talaash Hai, Woh Kaun Hai Jo Teri Aankhon Ki Pyaas Hai; Jabse Mila Hun Tumse Yehi Sochta Hun Main, Kyon Mere Dil Ko Ho Raha Tera Ehsaas Hai; Zindgi Ke Is Mod Pe Tum Aake Humse Yun Mile, Jaise Ki Koi Manzil Mere Itne Paas Hai; Ek Nazar Ki Aas Mein Taakta Hun Main Tujhe, Ab Dekh Tere Khatir Ek Aashiq Udaas Hai! |
Justju Jiski Thi Usko: Justju Jiski Thi Usko Toh Na Paya Humne, Iss Bahaane Magar Dekh Li Duniya Humne; Tujhko Ruswa Na Kiya Khud Bhi Pashemaan Na Hue, Ishq Ki Rasm Ko Iss Tarah Nibhaya Humne; Kab Mili Thi Kahan Bichhadi Thi Humein Yaad Nahi, Zindagi Tujh Ko Toh Bas Khwab Mein Dekha Humne; Ai Ada Aur Sunaye Bhi Toh Kya Haal Apna, Umra Ka Lamba Safar Tay Kiya Tanha Humne! |
Chalne Bhi Do Ye Qissa: Chalne Bhi Do Ye Qissa Abhi Kuch Din Aur, Rehne Do Rasm-e-Wafa Abhi Kuch Din Aur; Aankhon Mein Hain Uske Khwab Abhi Taza-Taza, Na Dekhna Gair Ko Gawara Abhi Kuch Din Aur; Dil Ki Barbadiyon Mein Bhi Hain Lazztein Ishq Ki, Mujhe Na Hai Hona Achha Abhi Kuch Din Aur; Main Jaanta Hun Tum Tagaful Hi Karoge Barha, Phir Bhi Chahta Hun Kehna Abhi Kuch Din Aur; Tumhein Gar Raas Hai Barbadi Dil Ki To Phir, Chalne Do Ye Silsila Abhi Kuch Din Aur! |
Kab Uska Visaal: Kab Uska Visaal Chahiye Tha, Bas Ek Khayaal Chahiye Tha; Kab Dil Ko Jawaab Se Gharaz Thi, Honthon Ko Sawaal Chahiye Tha; Shauq Yeh Nafas Tha Aur Wafaa Ko, Paas-e-Mah-o-Saal Chahiye Tha; Ek Chehra-e-Sadaa Tha Jo Hum Ko, Be-Misl-o-Misaal Chahiye Tha; Ek Karb Mein Zaat-o-Zindagii Hain, Mumkin Ko Mahaal Chahiye Tha! |