Din To Shikam Ki Aag Bujhane Mein Jaaye Hai; Shukr-e-Khuda Ki Katti Hai Danishvaron Mein Raat! |
Na Jaane Rooth Ke Baitha Hai Dil Ka Chain Kahan; Mile To Us Ko Hamara Koi Salaam Kahe! |
Ashar Mere Yun To Zamane Ke Liye Hain; Kuch Sher Faqat Un Ko Sunane Ke Liye Hain! |
Apne Chehre Se Jo Zaahir Hai Chhupayen Kaise; Teri Marzi Ke Mutabiq Nazar Aayen Kaise! |
Is Andhere Mein Jab Koi Bhi Na Tha; Mujh Se Ghum Ho Gaya Khuda Mujh Mein! |
Umar Bhar Chal Ke Bhi Paayi Nahi Manzil Hum Ne; Kuch Samajh Mein Nahi Aata Ye Safar Kaisa Hai! |
Nagri Nagri Phira Musafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya; Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Paraya Bhool Gaya! |
Diye Ke Aur Hawaon Ke Marasim Khul Nahi Pate; Nahi Khulta Ki In Mein Se Ye Kis Ki Aazmaish Hai! |
Mujhi Se Aayi Thi Milne Udaas Chandni Raat; Agar Ye Janta Hota To Jagta Bhi Main! |
Sada Aish Dauran Dikhata Nahi; Gaya Waqt Phir Haath Aata Nahi! |