Tujhe Haq Diya Hai Maine Dillagi Ka Ae Sanam; Tu Mere Dilse Khel Jab Tak Tera Dil Behal Na Jaye! |
Aa Bichadne Ka Koi Aur Tareeqa Dhoodhen; Pyaar Badhta Hai Meri Jaaan Khafa Rahne Se! |
Ab Tere Zikar Pe Hum Baat Badal Dete Hain; Kitni Raghbat Thi Tere Naam Se Pehle-Pehle! |
Samraj Ko Dost Hamare Dushman Hain, Inhi Se Aansu Aahein Aangan Aangan Hain; Inhi Se Qatal-e-Aam Hua Aashaon Ka, Inhi Se Veeran Umeedon Ka Gulshan Hai! |
Kitabon Ki Tarah Hai Woh Bhi; Alfaaz Se Bharpur Magar Khamosh! |
Lakh Kehte Rahen Zulmat Ko Zulmat Na Likhna; Ham Ne Sekha Nahi Payare Be-Ijazat Likhna! |
Tha Jahan Kehna Wahan Keh Na Paye Umar Bhar; Kagzon Par Yun Sher Likhna Bezubani Hi Toh Hai! |
Dushmano Ko Saza Dene Ki Ek Tehzeeb Hai Meri; Main Haath Nahi Uthata Nazron Se Gira Deta Hun! |
Hum Roothhe Huye Dil Ko Manaane Mein Reh Gaye, Ghairon Ko Dil Ka Dard Sunaane Mein Reh Gaye, Manzil Humari Humare Qareeb Se Gujar Gayi, Hum Doosron Ko Rasta Dikhaane Mein Reh Gaye! |
Sab Kuch Badla-Badla Tha Jab Barson Baad Mile; Haath Bhi Naa Thaam Sake Woh Itne Paraye Se Lage! |