Dil Ki Veerani Ka Kya Mazkoor Hai; Ye Nagar Sau Martba Loota Geya! |
Achha Hai Dil Ke Saath Rahe Paasbaan-e-Akal; Lekin Kabhi-Kabhi Ise Tanha Bhi Chhod De! |
Mere Geet Sune Duniya Ne Magar; Mera Dard Koi Na Jaan Saka; Ek Tera Sahara Tha Dil Ko; Tu Bhi Na Mujhe Pehchan Saka! |
Kuch Kadam Hum Chale Kuch Kadam Tum Chale; Farq Sirf Itna Raha Hum Chale To Faasla Ghat-Ta Geya; Aur Tum Chale To Faasla Badhta Geya! |
Aasmaan Itni Bulandi Pe Jo Itraataa Hai; Bhool Jata Hai Zameen Se Hi Nazar Aataa Hai! |
Yahi Soch Kar Us Ki Har Baat Ko Sach Mana Hai Faraz; Ki Itne Khoobsurat Lab Jhooth Kaise Bolein Gay! |
Pyar Tha Mohabbat Thi Ishq Tha Ada Thi; Agar Wafa Bhi Hoti Toh Qayamat Tha Woh Shakhsh! |
Umeedon Ka Samandar Ufano Par Hai; Khwahishein Kuch Adhuri Kuch Beimani; Mil Bhi Jaye Toh Kya Khushi; Jhoothi Hansi Bas Dikhawe Ki Hai! |
Unn Chiraago Mein Tel Hi Kam Tha; Kyon Gila Fir Humein Hawa Se Rahe! |
Mat Puchna Us Se Musibat Hoti Hai Kya; Jisne Kaati Ho Zindagi Muflisi Mein! |