Aafat To Hai Woh Naaz Bhi, Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par, Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |
Husn Ki Chahat Mein Ishq Ko Humne Thukra Diya; Husn Ne Yehi Silsila Hamari Zindagi Mein Dohra Diya! |
Meri Nigah-E-Shauq Bhi Kuch Kam Nahi Magar, Phir Bhi Tera Shabab Tera Hi Shabab Hai! |
Koi Aag Jaise Kohre Mein Dabi Dabi Si Chamke; Teri Jhilmilati Aankhon Mein Ajeeb Sa Samaa Hai! |
Tu Dekh Ya Na Dekh, Tere Dekhne Ka Gham Nahi; Par Teri Ye Na Dekhne Kee Ada Dekhne Se Kam Nahi! |
Sirf Aankhon Ko Dekh Ke Kar Li Unse Mohabbat; Chhod Diya Apne Muqaddar Ko Uske Naqaab Ke Peeche! |
Chaand Sa Jab Kaha To Gila Karne Lage; Bole, Chaand Kahiye Na, Chaand Saa Kya Hai! |
Tere Deedar Pe Agar Mera Ikhtiyar Hota, Yeh Roz Roz Hota Aur Baar Baar Hota! |
Badi Aarzoo Thi Mohabbat Ko Benaqab Dekhne Ki, Dupatta Jo Sarka To Zulfein Deewar Ban Gayi! |
Naqab To Unka Sir Se Lekar Paanv Tak Tha, Magar Aankhein Bayaan Kar Rahi Thi Ki Mohabbat Ki Shaukeen Wo Bhi Thi! |