Unke Husn Ka Aalam Na Puchiye, Bas Tasveer Ho Gaya Hun Tasveer Dekh Kar! |
Jalve Machal Pade To Sahar Ka Gumaan Hua, Zulfein Bikhar Gayi To Siyaah Raat Ho Gayi! |
Husn Walon Ko Kya Zaroorat Hai Sanwarne Ki, Wo To Saadgi Mein Bhi Qayamat Ki Ada Rakhte Hain! |
Jheel Achhi, Kanwal Achha Ki Jaam Achha Hai, Teri Aakhon Ke Liye Kaun Sa Naam Achha Hai! |
Khwab Hi Mein Nazar Aa Jaye Shab-e-Hijar Kahin, So Mujhe Hasrat-e-Deedar Ne Sone Na Diya! |
Zindagi Bahut Khoobsurat Hai Sab Kehte Hain, Jis Din Tujhe Dekha Yakeen Aa Geya! |
Jalwon Kee Sazishon Ko Na Rakho Hijab Mein; Ye Bijliyan Hain Ruk Na Sakengi Naqab Mein! |
Qatil Teri Adaaon Ne Loota Hai; Mujhe Teri Jafaaon Ne Loota Hai; Shaunk Nahi Tha Mujhe Mar-Mitne Ka; Mujhe To In Nashili Nigahon Ne Loota Hai! |
Husn Dekha Jo Buton Ka To Khudaa Yaad Aaya; Raah Kaabe Kee Mili Hai Mujhe But-Khaane Se! Meaning: Buton - Idols But-Khane - Temples, Abode of idols |
Chand Sa Tera Masoom Chehra Tu Haya Kee Ek Murat Hai; Tujhe Dekh Ke Kaliyan Bhi Sharmaye Tu Itni Khoobsurat Hai! |