Qatil Teri Adaaon Ne Loota Hai; Mujhe Teri Jafaaon Ne Loota Hai; Shaunk Nahi Tha Mujhe Mar-Mitne Ka; Mujhe To In Nashili Nigahon Ne Loota Hai! |
Husn Dekha Jo Buton Ka To Khudaa Yaad Aaya; Raah Kaabe Kee Mili Hai Mujhe But-Khaane Se! Meaning: Buton - Idols But-Khane - Temples, Abode of idols |
Chand Sa Tera Masoom Chehra Tu Haya Kee Ek Murat Hai; Tujhe Dekh Ke Kaliyan Bhi Sharmaye Tu Itni Khoobsurat Hai! |
Zikr Jab Chhid Geya Qayamat Ka; Baat Pahunchi Teri Jawani Tak! |
Jaise Meri Nigaah Ne Dekhaa Na Ho Kabhi; Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar! |
Fizao Ka Mausam Jaane Ke Baad Baharo Ka Mausam Aaya; Gulab Se Gulab Ka Rang Tere Gaalon Par Aaya; Tere Naino Ne Kaali Ghata Ka Jab Kajal Lagaya; Jawani Jo Tum Par Aayi To Nasha Meri Aankhon Mein Aaya! |
Aise Chhupne Se Na Chhupna Hi Tha Behtar Tera; Tu Hai Parde Mein Magar Zikr Hai Ghar Ghar Tera! |
Jab Samne Hote Ho Tum, Na Jane Kyon Hosh Kho Dete Hain Hum; Milti Hai Nazar Jab-Jab Tumse, Kasam Khudaa Kee Khudaa Ko Bhi Bhool Jaate Hain Hum! |
Tujhse Ru-b-Ru Hokar Baatein Karu; Nigahein Milakar Wafa Ke Vaade Karu; Thaam Kar Tera Hath Baith Jaun Tere Samne; Teri Haseen Surat Ke Nazare Karu! |
Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye; Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye! |