Jab Achanak Kabhi Unka Deedar Hota Hai; Dil Mein Dhimi Si Dhandkan Ruk Jati Hai; Itni Khoobsurat Hain Aankhein Unki; Ki Nazar Milate Hi Nazar Jhuk Jati Hai! |
Ho Na Jaye Gustakhi Husn Kee Shaan Mein; Chale Jao Tumhein Dekh Ke Bahut Pyaar Aata Hai! |
Taras Gaye Aap Ke Deedar Ko; Phir Bhi Dil Aap Hi Ko Yaad Karta Hai; Humse Khush Naseeb To Hai Aapke Ghar Ka Aaina; Jo Har Roz Aapke Husn Ka Deedar Karta Hai! |
Haathon Mein Ulfat Ka Naam Hota Hai; Aankhon Mein Chalkta Jaam Hota Hai; Khanjar Kee Jarurat Hai Yahan Kise; Yahan Nazron Se Qatal-e-Aam Hota Hai! |
Tujhe Paane Kee Iss Liye Zidd Nahi Karte; Kyonki Tujhe Khone Ko Dil Nahi Karta; Tu Milta Hai To Isliye Nazrein Nahi Uthate; Ki Phir Nazrein Hatane Ko Dil Nahi Karta! |
Apne Haseen Hontho Ko Kisi Parde Mein Chipa Liya Karo; Hum Zara Gustakh Log Hain, Nazron Se Chum Liya Karte Hain! |
Hasrat Hai Sirf Humein Tumhe Paane Kee; Aur Koi Khawahish Ab Nahi Is Deewane Kee; Shikwa Humein Tumse Nahi Khuda Se Hai; Kya Zarurat Thi Tumhe Itna Khoobsurat Banane Kee! |
Qatil Teri Adaaon Ne Loota Hai; Mujhe Teri Jafaaon Ne Loota Hai; Shaunk Nahi Tha Mujhe Mar-Mitne Ka; Mujhe To In Nashili Nigahon Ne Loota Hai! |
Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh Be-Naqab Aaya; Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya; Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya; Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijab Aaya! |
Zakhm The Gehre Aur Na Aaya Mujhe Unhe Seena; Uske Zakhmo Ke Bin Zindagi Mein Kya Jeena; Agar Lafzo Mein Teri Tareef Karunga To Tere Husn Ke Be-Adbi Hogi; Bas Tu Yeh Jaanle Ki Tere Bin To Chand Kee Chandni Bhi Adhuri Hogi! |