Teri Saadgi Ko Niharne Ka Dil Karta Hai; Tamaam Umar Tere Naam Karne Ka Dil Karta Hai; Ek Muqammal Shayari Hai Tu Kudrat Kee; Tujhe Ghazal Banake Zuban Pe Lane Ka Dil Karta Hai! |
Dheere Se Sarkti Hai Raat Us Ke Aanchal Kee Tarah; Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Khile Kamal Kee Tarha! |
Itna Haseen Kyon Banaya Khuda Ne Unko; Ki Har Koi Dekhna Chahta Hai Dil-o-Jaan Se Unko; Baarr-Baar Dekhne Se Dil Nahi Bharta Kisi Ka Bhi; Aankhon Mein Basa Lena Chahta Hai Har Shakhs Unko! |
Husan Aur Uspe Husan-e-Zan, Rah Gayi Bul Hawas Ki Sharm; Apne Pe Aitmaad Hai Ghair Ko Aazmayein Kyon! Translation: Beauty and its narcissism, ironically spare the lustful, With seduction's assurance of its power, what need to test the rival? |
Jhhuki Nazro'n Mein Qayamat Ka Asar Hota Hai; Husn Kuchh Aur Nikhar Jaata Hai Sharmaane Se! |
Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh Be-Naqab Aaya; Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya; Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya; Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijaab Aaya! |
Itna Haseen Kyon Banaya Khuda Ne Unko; Har Koi Chahta Hai Dil-o-Jaan Se Unko; Baar Baar Dekhne Se Dil Nahi Bharta Kisi Ka Bhi; Aankhon Mein Basa Lena Chahta Hai Har Shakhs Unko! |
Yun To Duniya Mein Sahare Bahut Hain; Hamare Jaise Tumhare Chahne Wale Bahut Hain; Kis Kiska Haal Ab Tum Ja Kar Puchoge; Yun To Zamane Mein Tumhare Deewane Bahut Hain! |
Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye; Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye! |
Nasha Zaroori Hai Zindagi Ke Liye; Par Sirf Sharab Hi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye; Kisi Kee Mast Nigahon Mein Doob Jao; Bada Haseen Samandar Hai Khudkhushi Ke Liye! |