Aaina Dekh Kar Wo Ye Samjhe; Mil Gaya Husn-e-Be-Misal Humein! |
Hum Hue Tum Hue Ki 'Meer' Hue; Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Hue! *Aseer: Prisoner, Captive |
Heya Nahi Hai Zamane Ki Aankh Mein Baaki; Khuda Kare Ki Jawani Teri Rahe Be-Dagh! |
Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De; Haan Apni Burai Ko Parakhne Ka Hunar De! |
Aankhon Ko Ek Khwab Dikhaya Ja Sakta Hai; Qissa Yusuf Ka Dohraya Ja Sakta Hai! |
Tum Phir Usi Ada Se Angdayi Le Ke Hans Do; Aa Jayega Palat Kar Guzra Hua Zamana! |
Tadap Jaata Hun Jab Bijli Chamakti Dekh Leta Hun; Ki Is Se Milta-Julta Sa Kisi Ka Muskurana Hai! |
Chand Bhi Hairan Dariya Bhi Pareshani Mein Hai; Aks Kis Ka Hai Ki Itni Roshni Paani Mein Hai! |
Teer-o-Talvar Se Badh Kar Hai Teri Tirchhi Nigah; Saikdon Aashiqon Ka Khoon Kiye Baithi Hai! |
Aankhon Mein Sulagti Hui Vehshat Ke Jilau Mein; Wo Hairat-o-Hasrat Ka Jahan Yaad Rahega! *Jilau: In the company of/Side |