Chand Bhi Hairan Dariya Bhi Pareshani Mein Hai; Aks Kis Ka Hai Ki Itni Roshni Paani Mein Hai! |
Teer-o-Talvar Se Badh Kar Hai Teri Tirchhi Nigah; Saikdon Aashiqon Ka Khoon Kiye Baithi Hai! |
Aankhon Mein Sulagti Hui Vehshat Ke Jilau Mein; Wo Hairat-o-Hasrat Ka Jahan Yaad Rahega! *Jilau: In the company of/Side |
Phoolon Mein Vahi To Phool Thehra; Jo Tere Salaam Ko Khila Ho! |
Kuch Tumhari Nigaah Kafir Thi; Kuch Mujhe Bhi Kharab Hona Tha! |
Din Aa Gaye Shabab Ke Aanchal Sambhaliye; Hone Lagi Hai Shehar Mein Hulchul Sambhaliye! |
Jab Yaar Ne Utha Kar Zulfon Ke Baal Bandhe; Tab Maine Apne Dil Mein Lakhon Khayal Bandhe! |
Kal Raat Ko Dekha Tha Jise Khwab Mein Tum Ne; Rukhsar Pe Rakhe Hue Rukhsar Humin The! |
Charagh-e-Husn-e-Yusuf Jab Ho Roshan; Rahe Phir Kis Tarah Zinda Andhera! |
Ab Tum Bhi Zara Husn-e-Jahan-Soz Ko Roko; Hum To Dil-e-Betaab Ko Samjhaye Hue Hain! |