Phoolon Mein Vahi To Phool Thehra; Jo Tere Salaam Ko Khila Ho! |
Kuch Tumhari Nigaah Kafir Thi; Kuch Mujhe Bhi Kharab Hona Tha! |
Din Aa Gaye Shabab Ke Aanchal Sambhaliye; Hone Lagi Hai Shehar Mein Hulchul Sambhaliye! |
Jab Yaar Ne Utha Kar Zulfon Ke Baal Bandhe; Tab Maine Apne Dil Mein Lakhon Khayal Bandhe! |
Kal Raat Ko Dekha Tha Jise Khwab Mein Tum Ne; Rukhsar Pe Rakhe Hue Rukhsar Humin The! |
Charagh-e-Husn-e-Yusuf Jab Ho Roshan; Rahe Phir Kis Tarah Zinda Andhera! |
Ab Tum Bhi Zara Husn-e-Jahan-Soz Ko Roko; Hum To Dil-e-Betaab Ko Samjhaye Hue Hain! |
Kya Husn Ne Samjha Hai Kya Ishq Ne Jana Hai; Hum Khak-Nashinon Ki Thokar Mein Zamaana Hai! |
Apni Surat Pe Bhi Nazar Rakhiye; Aaina Haath Mein Agar Rakhiye! |
Gulon Ko Chum Kar Aayi Saba Si Lagti Thi; Thi Ik Nazar Pe Moattar Hawa Si Lagti Thi! *Moattar - perfumed, fragrant |