Aaye Ho To Ye Hijab Kya Hai; Munh Khol Do Naqab Kya Hai! |
Teri Aankhon Ka Kuchh Kasoor Nahi; Haan Mujhi Ko Kharab Hona Tha! |
Hum Hue Tum Hue Ki 'Mir' Hue; Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Hue! |
Is Sadgi Pe Kaun Na Mar Jaaye Ai Khuda; Ladte Hain Aur Haath Mein Talwar Bhi Nahi! |
Allah Allah Husn Ki Ye Parda-Dari Dekhiye; Bhed Jis Ne Kholna Chaha Woh Deewana Hua! |
Kaun Si Ja Hai Jahan Jalwa-e-Mashooq Nahi; Shaunq-e-Deedar Agar Hai To Nazar Paida Kar! |
Yeh Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye To Achha, Is Raat Ki Taqdeer Sanwar Jaye To Achha; Jis Tarah Se Thodi Si Tere Saath Kati Hai, Baaki Bhi Usi Tarah Guzar Jaye To Achha! |
Har Tarah Ke Jazbat Ka Elan Hain Aankhein; Shabnam Kabhi Shola Kabhi Toofan Hain Aankhein; Aankhon Se Badi Koi Tarazu Nahi Hoti; Tulta Hai Bashar Jis Mein Woh Meezan Hain Aankhein! |
Kal Chaudhvi Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera; Kuch Ne Kaha Ye Chaand Hai, Kuch Ne Kaha Chehra Tera! |
Mujh Mein Hunar Kuch Khaas Nahi; Saadgi Ke Siwa Kuch Mere Paas Nahi! |