Husn Shayari

• Kya Husn Ne Samjha Hai Kya Ishq Ne Jana Hai;

Hum Khak-Nashinon Ki Thokar Mein Zamaana Hai!Upload to Facebook
Kya Husn Ne Samjha Hai Kya Ishq Ne Jana Hai;
Hum Khak-Nashinon Ki Thokar Mein Zamaana Hai!
~ Jigar Moradabadi
• Apni Surat Pe Bhi Nazar Rakhiye;

Aaina Haath Mein Agar Rakhiye!Upload to Facebook
Apni Surat Pe Bhi Nazar Rakhiye;
Aaina Haath Mein Agar Rakhiye!
~ Madhu Gupta
• Gulon Ko Chum Kar Aayi Saba Si Lagti Thi;

Thi Ik Nazar Pe Moattar Hawa Si Lagti Thi!

*Moattar - perfumed, fragrantUpload to Facebook
Gulon Ko Chum Kar Aayi Saba Si Lagti Thi;
Thi Ik Nazar Pe Moattar Hawa Si Lagti Thi!
*Moattar - perfumed, fragrant
~ R P Shokh
• Aaye Ho To Ye Hijab Kya Hai;

Munh Khol Do Naqab Kya Hai!Upload to Facebook
Aaye Ho To Ye Hijab Kya Hai;
Munh Khol Do Naqab Kya Hai!
~ Mushafi Ghulam Hamdani
• Teri Aankhon Ka Kuchh Kasoor Nahi;

Haan Mujhi Ko Kharab Hona Tha!Upload to Facebook
Teri Aankhon Ka Kuchh Kasoor Nahi;
Haan Mujhi Ko Kharab Hona Tha!
~ Jigar Moradabadi
• Hum Hue Tum Hue Ki 'Mir' Hue;

Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Hue!Upload to Facebook
Hum Hue Tum Hue Ki 'Mir' Hue;
Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Hue!
~ Meer Taqi Meer
• Is Sadgi Pe Kaun Na Mar Jaaye Ai Khuda;

Ladte Hain Aur Haath Mein Talwar Bhi Nahi!Upload to Facebook
Is Sadgi Pe Kaun Na Mar Jaaye Ai Khuda;
Ladte Hain Aur Haath Mein Talwar Bhi Nahi!
~ Mirza Ghalib
• Allah Allah Husn Ki Ye Parda-Dari Dekhiye;

Bhed Jis Ne Kholna Chaha Woh Deewana Hua!Upload to Facebook
Allah Allah Husn Ki Ye Parda-Dari Dekhiye;
Bhed Jis Ne Kholna Chaha Woh Deewana Hua!
~ Arzoo Lakhnavi
• Kaun Si Ja Hai Jahan Jalwa-e-Mashooq Nahi;

Shaunq-e-Deedar Agar Hai To Nazar Paida Kar!Upload to Facebook
Kaun Si Ja Hai Jahan Jalwa-e-Mashooq Nahi;
Shaunq-e-Deedar Agar Hai To Nazar Paida Kar!
~ Ameer Minai
• Yeh Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye To Achha,

Is Raat Ki Taqdeer Sanwar Jaye To Achha;

Jis Tarah Se Thodi Si Tere Saath Kati Hai,

Baaki Bhi Usi Tarah Guzar Jaye To Achha!Upload to Facebook
Yeh Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye To Achha,
Is Raat Ki Taqdeer Sanwar Jaye To Achha;
Jis Tarah Se Thodi Si Tere Saath Kati Hai,
Baaki Bhi Usi Tarah Guzar Jaye To Achha!
~ Sahir Ludhianvi
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT