Har Tarah Ke Jazbat Ka Elan Hain Aankhein; Shabnam Kabhi Shola Kabhi Toofan Hain Aankhein; Aankhon Se Badi Koi Tarazu Nahi Hoti; Tulta Hai Bashar Jis Mein Woh Meezan Hain Aankhein! |
Kal Chaudhvi Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera; Kuch Ne Kaha Ye Chaand Hai, Kuch Ne Kaha Chehra Tera! |
Mujh Mein Hunar Kuch Khaas Nahi; Saadgi Ke Siwa Kuch Mere Paas Nahi! |
Jaane Kyon Doob Jata Hun Har Bar Inhein Dekh Kar; Ek Dariya Hain Ya Poora Samandar Hain Teri Aankhein! |
Kitna Haseen Chand Sa Chehra Hai, Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai; Khudaa Ko Yakeen Na Tha Wafa Pe, Tabhi Chand Pe Taaron Ka Pehra Hai! |
Unke Husn Ka Aalam Na Puchiye; Bas Tasveer Ho Gaya Hun Tasveer Dekh Kar! |
Main Tumhari Saadgi Ki Kya Misaal Dun; Iss Saare Jahaan Mein Be-Misaal Ho Tum! |
Hum Par Yun Baar Baar Ishq Ka Ilzaam Na Lagaya Kar; Kabhi Khud Se Bhi Pucha Hai Itni Khoobasurat Kyon Ho! |
Is Sadgi Pe Kaun Na Mar Jaye Ai Khuda; Ladte Hain Aur Haath Mein Talvar Bhi Nahin! |
Tujh Ko Dekha Toh Phir Us Ko Dekha Na Gaya; Chand Kehta Hi Raha Main Chand Hun Main Chand Hun! |