Jaane Kyon Doob Jata Hun Har Bar Inhein Dekh Kar; Ek Dariya Hain Ya Poora Samandar Hain Teri Aankhein! |
Kitna Haseen Chand Sa Chehra Hai, Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai; Khudaa Ko Yakeen Na Tha Wafa Pe, Tabhi Chand Pe Taaron Ka Pehra Hai! |
Unke Husn Ka Aalam Na Puchiye; Bas Tasveer Ho Gaya Hun Tasveer Dekh Kar! |
Main Tumhari Saadgi Ki Kya Misaal Dun; Iss Saare Jahaan Mein Be-Misaal Ho Tum! |
Hum Par Yun Baar Baar Ishq Ka Ilzaam Na Lagaya Kar; Kabhi Khud Se Bhi Pucha Hai Itni Khoobasurat Kyon Ho! |
Is Sadgi Pe Kaun Na Mar Jaye Ai Khuda; Ladte Hain Aur Haath Mein Talvar Bhi Nahin! |
Tujh Ko Dekha Toh Phir Us Ko Dekha Na Gaya; Chand Kehta Hi Raha Main Chand Hun Main Chand Hun! |
Banane Wale Ne Bhi Tujhe Kisi Karan Se Banaya Hoga; Choda Hoga Jab Zameen Par Tujhe Uske Seene Mein Bhi Dard To Aaya Hoga! |
Yeh Husn Tera Yeh Ishq Mera, Rangeen To Hai Badnaam Sahi; Mujh Par To Kai Ilzaam Lage, Tujh Par Bhi Koi Ilzaam Sahi! |
Gulaab Aankhein Sharab Aankhein, Yahi To Hai Lajawab Aankhein; Inhi Mein Ulfat Inhi Mein Nafrat, Sawal Aankhein Jawaab Aankhein! |