Rukh-e-Roshan Ke Aage Shama Rakh Kar Woh Yeh Kehte Hain, Udhar Jaata Hai Dekhe Ya Idhaar Aata Hai Parwana! |
Burqa-Posh Pathani Jis Ki Laaj Mein Sau Sau Roop; Khul Ke Na Dekhi Phir Bhi Dekhi Hum Ne Chhanv Mein Dhoop! |
Jab Aapka Naam Zubaan Par Aata Hai Pata Nahi Dil Kyon Muskurata Hai; Haan Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna Jo Hanste Hue Har Waqt Yaad Aata Hai! |
Meri Aankhein Aur Deedar Aap Ka; Ya Qayamat Aa Gayi Ya Khwab Hai! |
Bhanp Hi Lenge Ishara Sar-e-Mehfil Jo Kiya; Taadne Wale Qayamat Ki Nazar Rakhte Hain! |
Galat Suna Tha Ki Ishq Aankhon Se Hota Hai; Dil Toh Woh Bhi Le Jaate Hain Jo Palkein Tak Nahi Uthate! |
Dil Uski Taar-e-Zulf Mein Uljh Geya, Suljhega Kis Tarah Yeh Bistaar Hai Gazab! |
Ek Toh Husn Bala Us Pe Banawat Aafat; Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale! |
Kis Kadar Masoom Sa Chehra Tha Uss Ka Ghalib; Dheere Se Jaan Keh Kar Bejaan Kar Gaya! |
Tere Husn Pe Tareefo Bhari Kitaab Likh Deta, Kash Teri Wafa Tere Husn Ke Barabar Hoti! |