Sazayein Dekhta Hun Aur Sochta Hun Main; Jahaan Mein Ishq Se Badh Kar Koi Bhi Jurm Nahi! |
Koi Le Le To Dil Dene Ko Main Tayyar Baitha Hun; Koi Mange To Apni Jaan Tak Qurban Karta Hun! |
Har Dil Mein Chhupa Hai Teer Koi Har Paanv Mein Hai Zanjeer Koi; Puche Koi In Se Gham Ke Maze Jo Pyaar Ki Baatein Karte Hain! |
Woh Guftugu Jo Meri Sirf Apne-Aap Se Thi; Teri Nigah Ko Pahunchi To Shayari Hui Hai! |
Jo Nigah-e-Naaz Ka Bismil Nahi; Dil Nahi Wo Dil Nahi Wo Dil Nahi! *Bismil: Wounded |
Badan Ke Donon Kinaron Se Jal Raha Hun Main; Ki Chhu Raha Hun Tujhe Aur Pighal Raha Hun Main! |
Tum Ko Ye Hai Agar Yaqeen Dil Mein Wo Jalwa-Gar Nahi, Dhoondha Karo Tamam Umar Milne Ka Umar-Bhar Nahi; Aaye Na Aaye Be-Khabar Kya Tujhe Ye Khabar Nahi, Saans Ka Aitbar Kya Shaam Hai To Sahar Nahi! |
Aaj Van Teg-o-Kafan Bandhe Hue Jata Hun Main; Uzr Mera Qatal Karne Mein Wo Ab Lavenge Kya! *Teg-o-Kafan: Sword and Shroud |
Un Ki Nazar Ke Saath Hi Saara Zamana Phir Gaya, Gardish-e-Chashm-e-Naaz Hai Gardish-e-Rozgar Kya; Bad-e-Khizan Ki Mauj Thi Ghuncha-e-Dil Ke Haq Mein Sam, Mausam-e-Gul Ki Bhi Hawa Hogi Na Sazgar Kya! * Gardish-e-Chashm-e-Naaz: Movement eyes of coquetry * Sazgar: Agreeable, favourable, |
Aap Ne Tasveer Bheji Maine Dekhi Ghaur Se; Har Ada Achhi Khamoshi Ki Ada Achhi Nahi! |