Wo Jiske Saamne Humne Ye Sar Jhukaya Hai; Khuda Nahi Hai, Par Humne Usko Khuda Banaya Hai! |
Ab To Kar Lijiye Aap Samaat Qisaa Ishq Ka; Aah Tak Le Aayein Hain Hum Mukhtsir Karte Hue! Translation: Samaat = Hear Mukhtasir = Shorten |
Jis Tarah Ragon Mein Khoon Rehta Hai; Ussi Tarah Mujhe Teri Chahat Ka Junoon Rehta Hai; Zindagi Kee Har Khushi Mansoob Hai Tumse; Baat Ho Tum Se To Dil Ko Sukoon Rehta Hai! |
Tumhari Khamoshi Hamari Aadat Hai; In Dooriyon Mein Bhi Hamari Chahat Hai; Hamari Zindagi Agar Khoobsurat Hai; To Uski Wajah Bhi Aapki Muskurahat Hai! |
Aaine Mein Wo Dekh Rahe The Bahaar-e-Husn; Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye! |
Ek Baar Dekh Ke Azad Kar De Mujhe; Main Aaj Bhi Teri Pehli Nazar Kee Qaid Mein Hun! |
Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tumse; Jazbaton Kee Koi Numaish Nahi Kee; Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai; Rishte Kee To Koi Guzarish Nahi Kee! |
Dil Mein Na Ho Jurat To Mohabbat Nahi Milti; Khairat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti! |
Khushbu Mangi Thi Rabb Se; Wo Humein Lajawab Phool Thama Gaye; Thodi Khushi Mangi Thi Dua Mein; Wo Humein Aapse Milakar Sabse Khush Nasib Bana Gaye! |
Zindagi Mujhse Yun Daga Na Kar; Main Zinda Rahu Bin Uske Ye Dua Na Kar; Dekhta Hai Use Koi To Hoti Hai Jalan; Ai Hawa Tu Bhi Use Chuaa Na Kar! |