Woh Toh Apna Dard Ro-Ro Kar Sunate Rahe, Hamari Tanhayion Se Bhi Aankh Churate Rahe; Humein Hi Mil Geya Khitab-e-Bewafa Kyonki, Hum Har Dard Muskura Kar Chhupate Rahe! |
Humein Dekh Kar Jab Usne Munh Mod Liya; Ek Tasalli Ho Gayi Chalo Pehchante Toh Hain! |
Tasavuur Mein Na Jaane Katib-e-Taqdir Kya Tha; Mera Anjaam Likha Hai Mere Aagaaz Se Pahle! |
Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho; Meri Rago Mein Zehar Judaai Ka Utarata Dekho; Kis-Kis Ada Se Tujhe Manga Hai Khudaa Se; Aao Kabhi Mujhe Sazado Mein Siskata Dekho! |
Aashiqui Sabr Talab Aur Tamanna Betab; Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-e-Jigar Hone Tak! |
Dushmano Ko Sazaa Dene Ki, Ek Tehjeeb Hai Meri; Main Haath Nahi Uthaata, Najron Se Gira Deta Hun! |
Jee Chahe Ki Duniya Ki Har Ek Fikr Bhula Kar; Dil Ki Baatein Sunaun Tujhe Main Pass Bitha Kar! |
Shayaron Ki Basti Mein Kadam Rakha To Jana; Ghamon Ki Mehfil Bhi Kamaal Jamti Hai! |
Baad Marne Ke Bhi Chhodi Na Rafaaqat Meri; Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri! |
Tumhaara Dil Mere Dil Ke Baraabar Ho Nahin Sakta; Wo Sheesha Ho Nahin Sakta Ye Patthar Ho Nahin Sakta! |