Apne Haseen Hontho Ko Kisi Parde Mein Chupa Liya Karo; Hum Zara Gustakh Log Hain, Nazron Se Chum Liya Karte Hain! |
Khudi Ko Kar Buland Itna Ki Har Taqdir Se Pahle; Khuda Bande Se Poonche Bata Teri Raza Kya Hai! |
Kya Zaroori Hai Ke Hum Haar Ke Jeetien Tabish; Ishq Ka Khel Barabar Bhi To Ho Sakta Hai! |
Kabhi Alfaaz Bhul Jaaun Kabhi Khayal Bhul Jaaun; Tujhe Is Kadar Chahun Ki Apni Saans Bhul Jaaun; Uth Kar Tere Paas Se Jo Main Chal Doon; Toh Jate Hue Khud Ko Tere Paas Bhul Jaaun! |
Dosti Jab Kisi Se Ki Jaaye; Dushmanon Ki Bhi Raai Li Jaaye! |
Jo Nigah-e-Naaz Ka Bismil Nahin; Dil Nahin, Wo Dil Nahin, Wo Dil Nahin! |
Us Shakhs Se Bas Itna Sa Taalluk Hai Faraz; Wo Pareshan Ho To Humein Neend Nahin Aati! |
Kaun Hai Jo Nahi Hai Haazat-Mand; Kis Kee Haazat Ravaa Kare Koi! |
De Mujh Ko Shikayat Kee Izaazat Ki Sitamgar; Kuchh Tujh Ko Mazaa Bhi Mire Aazaar Mein Aave! |
Yeh Kaafi Hai Ki Hum Dushman Nahi Hain; Wafaadari Ka Daava Kyon Karein Hum! Meaning: Daava - Claim |