Na Guzarna Eid Ke Din Kisi Masjid Ke Pass Se; Kahin Log Chand Samajh Ke Roza Na Tod Lein; Aur Hokar Khafa Khuda Tumse; Kahin Husn Banana Hi Na Chhod De! |
Main Apne Ghar Gaya Tha Woh Jab Apne Ghar Gayi; Phir Mujh Ko Kya Khabar Ki Wahan Se Kidhar Gayi! |
Hote Agar Paas Toh Koi Shararat Karte; Lekar Tumhein Baahon Mein Mohabbat Karte; Dekhte Teri Aankhon Mein Neend Ka Khumar; Apni Khoyi Hui Neendon Ki Shikayat Karte! |
Bheed Itni To Na Thi Shahr Ke Bazaaron Mein; Mujhe Khone Wale Tune Kuch Der To Dhoonda Hota! |
Kuch Baat Hai Teri Baaton Mein; Jo Baat Yahan Tak Aa Pahunchi; Hum Dil Se Gaye Dil Tum Pe Geya; Aur Baat Kahan Par Ja Pahunchi! |
Koi Ummeed Bar Nahi Aati; Koi Soorat Nazar Nahi Aati! |
Khush-Shakal Bhi Hai Woh, Ye Alag Baat Hai; Magar Humko Jaheen Log Hamesha Ajeej The! |
Thikana Hai Qabr Tera Ibadat Kuch To Kar Gafil; Kahawat Hai Ke Khali Haath Ghar Jaya Nahi Karte! |
Muskan Banaye Rakho To Sab Saath Hai Ghalib; Varna Aansuon Ko To Aankhon Mein Bhi Panah Nahi Milti! |
Rote Hain Tanha Dekh Kar Mujhko Woh Raaste; Jin Pe Tere Baghair Main Guzra Kabhi Na Tha! |