Teri Khamosh Nazron Ka Nazara Main Hoon; Tu Agar Samundar Hai To Kinara Main Hoon; Waqt Ki Dehleez Par Har Cheez Badalti Hai; Umar Bhar Jo Saath Rahe Woh Sahara Main Hun! |
Nazar Nazar Ka Farq Hai, Husn Ka Nahi; Mehboob Jis Ka Bhi Ho, Be-Misaal Hota Hai! |
Khusro Baazi Prem Ki, Main Khelun Pi Ke Sang; Jeet Gayi To Piya Moray, Haari, Pi Kay Sang! |
Pukarti Hai Khamoshi Meri Fugan Ki Tarah; Nigahein Kehti Hain Sab Raz-e-Dil Zuban Ki Tarah; Jala Ke Daag-e-Mohabbat Ne Dil Ko Khak Kiya Bahar; Ai Mere Baag Mein Khizan Ki Tarah! |
Zara Si Zindagi Hai Armaan Bahut Hain; Humdard Nahi Koi, Insaan Bahut Hain; Dil Ka Dard Sunaye To Sunaye Kisko; Jo Dil Ke Kareeb Hain Wo Anjaan Bahut Hain! |
Mangne Se Mil Saki Nahi Humein Ek Bhi Khushi; Paaye Hain Laakh Ranj Tamanna Kiye Baghair! |
Aise Bichrro Nahi, Sada Ke Liye; Mujh Se Rootho Na Tum, Khuda Ke Liye; Maine Maanga Hai Bas Tumhein Rabb Se; Haath Jab Bhi Uthe Dua Ke Liye! |
Aaine Mein Wo Dekh Rahe The Bahaar-e-Husn; Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye! |
Tujhe Dekha Nahi Phir Bhi Tujhe Chahne Laga Hoon; Tumhein Dheere Dheere Apna Banane Laga Hoon; Ye Dil Kyon Aapke Bare Mein Hi Sochta Hai; Kyon Tujhse Dil Lagane Laga Hoon! |
Aankhon Mein Haya Ho Toh Parda Dil Ka Hi Kaafi Hai; Nahi To Naqaab Se Bhi Hote Hain, Ishaare Mohabbat Ke! |