Yeh To Nahi Ki Tum Sa Jahan Mein Haseen Nahi, Iss Dil Ko Kya Karun Yeh Behalta Kahin Nahi! |
Usne Phir Se Salaam Bheja Hai, Phir Kisi Se Bigad Gayi Hogi! |
But-Khana Tod Daaliye Maszid Ko Dhaaiye; Dil Ko Na Todiye Ye Khuda Ka Maqaam Hai! |
Dil Ki Bisaat Kya Thi Nigaah-e-Jamaal Mein; Ik Aaina Tha Toot Geya Dekh-Bhaal Mein! |
Humne Seene Se Lagaya, Dil Na Apna Ban Saka; Muskura Kar Tum Ne Dekha, Dil Tumhara Ho Geya! |
Jo Nigaah-e-Naaz Ka Bismil Nahi; Dil Nahi Woh Dil Nahi Wo Dil Nahi! |
Tumhaara Dil Mere Dil Ke Baraabar Ho Nahi Sakta; Woh Sheesha Ho Nahi Sakta Yeh Patthar Ho Nahi Sakta! |
Aaina Phaila Raha Hai Khud-Farebi Ka Ye Marz; Har Kisi Se Keh Raha Hai Aap Sa Koi Nahi! |
Hanste Hue Zakhmon Ko Bhulane Lage Hain Hum, Har Dard Ke Nishaan Mitaane Lage Hain Hum; Ab Aur Koi Zulm Satayega Kya Bhala, Zulmon Sitam Ko Ab Toh Satane Lage Hain Hum! |
Jaane Kyon Doob Jata Hun Har Bar Inhein Dekh Kar; Ek Dariya Hai Ya Poora Samandar Hai Teri Aankhein! |