Meri Fitrat Ko Kya Samjheinge Yeh Khwab-e-Gardaan Waale; Savere Ke Sitaare Ki Chamak Hai Raazdaan Meri! Gardaan: Wanderer, Revolving Raazdaan: One who knows the secret |
Tilism-e-Gumbad-e-Garduun To Tod Sakte Hain; Zujaaj Ki Ye Imaarat Hai, Sang-e-Khaara Nahi! Tilism-e-Gumbad-e-Garduun: The magic dome that we consider is our sky (limit) Zujaaj: Glass Sang-e-khaara: Hard Stone |
Sookhe Hue Shajar Ko Paani Mila Nahi; Aaj Sabz Hua Aangan Toh Barish Hone Lagi! Shajar: Plant, Tree |
Thakna Bhi Laazmi Tha Kuch Kaam Karte-Karte; Kuch Aur Thak Geya Hun Aaraam Karte-Karte! |
Shehar Mein Lagta Nahin Sahara Mein Ghabrata Hai Dil; Ab Kahan Le Ja Ke Baithein Aise Deewane Ko Hum! |
Tumhare Paas Hun Lekin Jo Doori Hai, Samjhta Hun, Tumhare Bin Meri Hasti Adhoori Hai, Samjhta Hun; Tumhein Main Bhool Jaungaa Yeh Mumkin Hai Nahi Lekin, Tumhi Ko Bhoolna Sabse Zaroori Hai Samjhta Hun! |
Aankh Uthaakar Bhi Na Dekhun, Jisse Mera Dil Na Mile; Rasman Sabse Haath Milana, Mere Bas Ki Baat Nahi! |
Hamare Sheesha-e-Dil Ko Sambhal Kar Haath Mein Lena; Nazakat Is Mein Itni Hai Nazar Se Jab Gira Toh Toot Jayga! |
Hum Bhi Dariya Hai Humein Apna Hunar Maloom Hai; Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta Ho Jaayega! |
Yahan To Umar Guzari Hai Mauje-Talaatum Mein; Woh Koi Aur Honge Sair-e-Saahil Dekhne Waale! |