Har Saal Zard Phoolon Ka Ek Qafila Ruka; Us Ne Jahan Pe Dhool Aate Paaon Dhoye The! Zard: Yellow |
Manzil-e Shaunk Khud Mujhe Badh Ke Pukaar Le 'Zia', Yaar Ka Naqsh-e-Paa Le Baitha Hun Rahguzar Mein! Manzil-e-Shaunk: Destination Of Love Naqsh-e-Paa: Footprints Rahguzar: Road |
Ek Beemar Vasiyat Karne Wala Hai; Rishte Naate Jeebh Nikale Baithe Hain! Vasiyat: Bequest, Will |
In Aablon Se Paaon Ke Ghabra Geya Tha Main; Ji Khush Hua Hai Raah Ko Purkhraar Dekh Kar! AablonP: Blisters Purkhaar: Laden With Thorns |
Kadam Insan Ka Rah-e-Dahar Mein Thehra Hi Jaata Hai; Chale Kitna Hi Koi Bach Ke, Thokar Kha Hi Jaata Hai! Rah-e-Dahar: In the paths of this world |
Apne Tevar Bhi Sambhaalo Ki Koi Ye Na Kahe; Dil Badalte Hain To Chehre Bhi Badal Jaate Hain! |
Khudi Wo Behar Hai Jis Ka Koi Kinaara Nahin; Tu Aabju Ise Samajha Agar To Chaara Nahin! Khudi: Sense of Self Bahar: Sea, A poetic meter Aabju: Rivulet |
Wo Be-Dardi Se Sar Kaatein Amir Aur Main Kahun Un Se; Huzoor Aahista-Ahista, Janaab Ahista-Aahista! |
Dil Se Rukhsat Hui Koi Khwahish; Giryaa Kuch Be-Sabab Nahi Aata! |
Chalo Baant Lete Hain Apni Sazayein; Na Tum Yaad Aao, Na Hum Yaad Aayein! |