Izhaar Shayari

  • Unhein Chahana Hamari Kamzori Hai;
    Unse Keh Nahi Pana Hamari Majboori Hai;
    Wo Kyon Nahi Samajhte Hamari Khamoshi Ko;
    Kya Pyaar Ka Izhaar Karna Itna Zaroori Hai!
  • Tujhe Chahte Hain Be-Inteha Par Chahna Nahi Aata;
    Ye Kaisi Mohabbat Hai Ki Humein Kehna Nahi Aata;
    Zindagi Mein Aa Jao Hamari Zindagi Ban Kar;
    Ki Tere Bin Humein Zinda Rehna Nahi Aata!
  • Humne Hamare Ishq Ka, Izhaar Yoon Kiya;
    Phoolon Se Tera Naam, Pathron Pe Likh Diya!
  • Ek Khwaish Sirhane Rakh Do Na;
    Aaj Mujh Pe Tum Inayat Kar Do Na;
    Zara Chupke Se Khamoshi Se;
    Tum Izhar-e-Mohabbat Kar Do Na!
  • Jisko Chaho Use Chahat Bata Bhi Dena;
    Kitna Pyaar Hai Usse Yeh Jata Bhi Dena;
    Yun Na Ho Ki Uska Dil Kahin Aur Lag Jaye;
    Karke Izhaar Uske Dil Ko Chura Bhi Lena!
  • Ishq Se Kabhi Humne Inkaar Nahi Kiya;
    Par Iss Dil Ko Kabhi Itna Bekarar Nahi Kiya;
    Bas Aankhon Mein Unke Sapne Sajaye Rakhe Hain;
    Magar Kabhi Humne Honthon Se Ishq Ka Izhar Nahi Kiya!
  • Izhar Mohabbat Ka Kuch Aise Hua;
    Kya Kahein Ki Pyaar Kaise Hua;
    Unki Ek Jhalak Pe Nisaar Hue Hum;
    Saadgi Pe Mar-Mite Aur Aankho Se Iqraar Hua!
  • Aankhon Kee Gehrai Ko Samjh Nahi Sakte;<br/>
Hontho Se Kuch Keh Nahi Sakte;<br/>
Kaise Bayan Kare Hum Aapko Yeh Dil Ka Haal Ki;<br/>
Tum Hi Ho Jiske Bina Hum Reh Nahi Sakte!Upload to Facebook
    Aankhon Kee Gehrai Ko Samjh Nahi Sakte;
    Hontho Se Kuch Keh Nahi Sakte;
    Kaise Bayan Kare Hum Aapko Yeh Dil Ka Haal Ki;
    Tum Hi Ho Jiske Bina Hum Reh Nahi Sakte!
  • Jeevan Mein Ek Baar Sabhi Ne Kiya Hai Pyaar;
    Kuch Ne Darr Kar Kuch Ne Josh Mein Kiya Izhar;
    Magar Bina Bole Jab Do Dil Keh Jayein Dil Kee Baat;
    Wahi Hai Nazar Ka Nazar Se Saccha Iqraar!
  • Ishq Ke Izhaar Mein Har Chaand Rusvayi To Hai;<br/>
Par Karun Kya Ab Tabiyat Aap Par Aayi To Hai!Upload to Facebook
    Ishq Ke Izhaar Mein Har Chaand Rusvayi To Hai;
    Par Karun Kya Ab Tabiyat Aap Par Aayi To Hai!
    ~ Akbar Allahabadi
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT