Aap Ke Baad Yeh Mehsoos Hua Hai Humko; Jeena Mushkil Nahi Aur Marna Bhi Dushwaar Nahi! |
Aankh Rakhte Ho To Us Aankh Kee Tehreer Parho; Munh Se Iqraar Na Karna To Hai Aadat Uss Kee! |
Tere Didar Ki Talab Rakhta Tha; Tujhse Pyaar ki Chahaht Rakhta Tha; Tujhse Izhaar Ki Bhi Sada Rakhta Tha; Rakh Na Paya To Sirf Izhaar-e-Junoon! |
Khushi Ke Motiyon Mein Labh Woh Dabaate Rahe; Aankhon Ko Kabhi Jhukaate Aur Kabhi Milate Rahe; Labh Pe Na Woh Laaye Kabhi Ikraar Aur Na Inkaar Hi Kiya; Tamam Umar Ishq ki Justju Main, Apni Aarzoo ko Rulaate Rahe! Translation: Khushi ke Moti: Teeth |
Chaandni Raat Ke Khamosh Sitaron Ki Qasam; Dil Mein Ab Tere Siwa Koi Bhi Aabad Nahi! |
Wo Mohabbaton Ke Saude Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin; Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai! |
Dil Ko Kya Ho Gaya Khuda Jane; Kyon Hai Aisa Udas Kya Jane; Keh Diya Main Ne Hale Dil; Apna Is Ko Tum Jano Ya Khuda Jane! |
Saray Raah Jo Unsay Nazar Mili; To Naksh Dil Kay Ubhar Gaye; Hum Nazar Mila Kar Jhijag Gaye; Vo Nazar Jhuka Kar Chale Gaye! |
Ghar Se Nikal Pade Hain Awaargi Uthaa Kar; Hum Ko Yahi Bahut Hai Asbaab Is Safar Mein! Translation: Asbaab = Luggage |
Shair Kisi Ke Hijr Main Kehnaa Sirf Visaal Kisi Se; Hum Bhi Kya Hain, Dheyaan Kisi Ka Aur Sawal Kisi Se! |