Muhabat Kia Hai Do Lafzon Main Tumhe Batata Hoon; Tera Majboor Kar Dena Aur Mera Majboor Ho Jaana! |
Rail Ki Seetti Mein Kese Hijr Ki Tamheed Thi; Us Ko Rukhsat Karke Ghar Lotay To Andaaza Hua! |
Ungliyaa Meri Waafa Par Naa Uthaooo Logo; Jisko Shaq Hai Wo Mujhse Nabhakar Dekho! |
Khyayyal Mein Woh, Besurti Mein Woh; Aankkon Mein Woh, Aksh Mein Woh; Khushi Mein Woh, Dard Mein Woh; Aab Mein Woh, Sharab Mein Woh; Labh Mein Woh, Behisaab Mein Woh; Mere Abb Ho Lo, Ya Jaan Meri Lo! |
Chand Kaliyaa Nishaat Ki Chunkar; Muddaton Maayoos Rehta Hoon; Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi; Tujhse Milkar Udaas Rehta Hoon! Translation: Nishaat = Happiness |
Qaasid Ke Aate Aate Khat Ek Aur Likh Rakkhun; Main Jaanta Hoon Jo Wo Likhenge Jawaab Mein! |
Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho; Kal Me Aaj Jaisi Koi Baat Ho Na Ho; Aapka Pyar Hamesha Is Dil Mei Rahega; Chahe Poori Umar Mulaqat Ho Na Ho! |
Dil Mei Chhipi Yadoon Se Sawaraa Tujhe; Tu Dekhe To Apni Ankhon Mei Utaru Tujhe; Tere Naam Ko Labo Pe Aise Sajaya Hai; So Bhi Jau To Khawbo Mein Pukaru Tujhe! |
Chaand To Nikla Hai Magar Ye Raat Na Hai Pehli Si; Ye Mulakat Mulakat Na Hai Pehli Si; Ranj Kuch Kam To Hua Aaj Milne Se; Ye Alag Baat Hai Ke Ye Baat Na Hai Pehli Si! |
Yeh Bahein Humein Jab; Apni Panahon Mein Bulathi Hein; Humein Apni Kasam Hum; Har Sahara Bhool Jatey Hain! |