Teri Khushbu Se Waqif Ho Main; Yeh Andaz Se Kayal Hun Main; Mujhe Apni Zindagi Ka Har Pal Dede; Yehi Mere Jinne Ka Tamanna Hai! |
Sab Ke Dil Mein Hai Jagah Teri, Jo Tu Raazi Hua; Mujh Pe Goya Ik Zamaana Mehrbaan Ho Jaeega! |
Hamaari Sanso Mein Ek Aahat Apki Bhi Hai; Dil Ki Dhadkno Mein Ek Gungunahat Apki Bhi Hai; Anjaan Hai Aap Shayad Iss Raaz Se; Ki Hamaari Hansi Mein Ek Muskrahat Apki Bhi Hai! |
Tu Hi Bata Ae Dil, Tujhe Samjhaon Kaise; Jisse Chahta Hai Tu, Usse Nazdeek Laun Kaise; Youn Toh Har Tamanna Har Ehsaas Hai Woh Mera; Par Uss Ehsaas Ko Yeh Ehsaas Dilaun Kaise! |
Tum Ko De Di Hain Ishaaron Mein Ijaazat Maine; Mangne Se Na Mil Sakun Toh Chura Lo Mujh Ko! |
Na Jaane Kis Ke Muqadar Mein Likhe Ho Tum Magar, Yeh Such Hain Ke Umeedwar Hum Ajj Bhi Hain! |
Hum Chahat Ke Afsaane Likhte Rahe: Woh Bhi Humein Durr Se Takte Rahe; Jab Humne Izhar Karne Ko Haath Thama; To Mehndi Se Ranga Unka Haath Paya! |
Humne To Kho Di Thi Saab Chahat Ki Aas; Unhone Pyaar-e-Izhrar Karke, Hum Mein Jinne Ki Arzoo Bhar Di! |
Aaj Muddat Baad Unhone Mohabbat Ka Izhaar Kiya; Aur Humne Unmein Raab Ka Deedar Kiya! |
Woh Jo Muskura Ke Mila Kabhi; Toh Yeh Fikr Jaise Mujhe Hui; Kahun Apne Dil Ki Jo Baat Main; Kahin Muskura Ke Na Taal De! |