Mere Guzre Hue Tewar Abhi Bhooli Nahi Duniya; Abhi Bikhri Hui Hain Har Taraf Parchaiyaan Meri! Tewar: Moods |
Mere Guzre Hue Tewar Abhi Bhooli Nahi Duniya; Abhi Bikhri Hui Hain Har Taraf Parchaiyaan Meri! Tewar: Moods |
Bas Isliye Har Shakhs Shayar Nahi Ban Pata, Bayan-e-Dard Ka Hunar Kisi-Kisi Ko Aata Hai! |
Lakh Kehte Rahen Zulmat Ko Zulmat Na Likhna; Hum Ne Seekha Nahi Payare Be-Izazat Likhna! |
Bichadd Gaye To Phir Milne Ki Aas Kya Rakhein; Murjaye Hue Phool Khilne Ki Aas Kya Rakhein; Lagaye Hain Jo Khud Apne Hath Se Anjum; Un Zakhmon Ke Khilne Ki Aas Kya Rakhein! |
Kashti Bhi Nahi Badli Darya Bhi Nahi Badla; Aur Doobne Walon Ka Jazba Bhi Nahi Badla; Hai Shoq-e Safar Aisa Ik Arse Se Yaaro; Manzal Bhi Nahi Rahi Rasta Bhi Nahi Badla! |
Uss Ghadi Dekho Unka Aalam, Neend Se Jab Hon Bhojhal Aakhein; Kaun MeriN Nazar Mei Samaaye, Dekhi HaiN Maine Tumhari Aankhein! |
Uski Baahon Mein Sone Ka Abhi Tak Shaunk Hai Mujhko; Mohabbat Mein Ujad Kar Bhi Meri Aadat Nahi Badli! |
Nazakat Le Ke Aankhon Mein, Woh Unka Dekhna Tauba; Ya Khudaa Hum Unhein Dekhein Ki Unka Dekhna Dekhein! |
Agar Thak Jao Kabhi Toh Humse Kehna, Hum Utha Lenge Tumko Apni Baahon Mein; Aap Ek Baar Pyaar Karke Toh Dekho Humse, Hum Khusiyan Bichha Denge Aapki Raahon Mein! |