Maqsad Zeesat Gham-e Ishq Hai Sehra Ho Keh Shehar; Baith Jayen Gey Jahan Chaho Bitha Do Hum Ko! |
Neechan Di Ashnai Kolo Faiz Kise Nai Paya; Kikkar Te Angoor Charhaya Har Gucha Azmaya! |
Farishte Se Badh Kar Hai Insan Banna; Magar Is Mein Lagti Hai Mehnat Zyada! |
Baat Karni Tak, Na Aati Thi Tumhein; Yeh Hamare Samne Ki Baat Hai! |
Jab Lafz Thak Gaye Toh Phir Aankhon Ne Baat Kee; Jo Baatein Aankhein Na Keh Saki Woh Phir Ashkon Se Bayaan Hui! |
Tu Hai Suraj Tujje Maloom Kahan Raat Ka Dukh; Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam Ke Baad! |
Jo Tu Nahi Toh Ye Muqammal Na Ho Saken Ge; Teri Yahi Ahmiyat Hai Meri Kahaniyon Mein! |
Khushboo Ki Tarah Aaya Woh Tez Hawaaon Mein, Maanga Tha Jise Humne Din Raat Duaaon Mein; Tum Chhat Pe Nahi Aaye Main Ghar Se Nahi Nikla, Yeh Chaand Bahut Bhatka Saawan Ki Ghataaon Mein! |
Tum Kitne Door Ho Mujhse Main Kitna Paas Hun Tumse; Tumhein Pana Bhi Namumkin Tumhein Khona Bhi Namumkin! |
Dene Wale Ki Mashyat Pe Hai Sab Kuch Moqoof; Mangne Wale Ki Hazat Nahi Dekhi Jati! |