Yeh Shaam Bahut Tanha Hai Milne Ki Bhi Talab Hai, Par Dil Ki Sadaaon Mein Woh Taqat Hi Kahan Hai; Koshish Toh Bahut Ki Aur Bharosa Bhi Bahut Tha, Mil Jaayein Bichhad Kar Woh Qismat Hi Kahan Hai! |
Ab To Humein Bhi Tark-e Mrasam Ka Dukh Nahi; Par Dil Ye Chahta Hai Ki Aaghaz Tu Kare! |
Hazaar Baar Jo Maanga Karo Toh Kya Haasil, Dua Wahi Hai Jo Dil Se Kabhi Nikalti Nahi! |
Koi Hanse Toh Tujhe Gham Lage Khushi Na Lage, Yeh Dil Ki Lagi Thi Dil Ko Dillagi Na Lage; Tu Roj Uthh Kar Roya Kare Chandni Raaton Mein, Khuda Kare Ki Tera Bhi Mere Bina Dil Na Lage! |
Toote Hue Sapno Aur Roothe Hue Apno Ne Udaas Kar Diya, Varna Log Humse Muskuraane Ka Raaz Poocha Karte The! |
Jo Ho Sake To Chale Aao Aaj Meri Taraf, Mile Bhi Der Ho Gayi Aur Jee Bhi Udaas Hai! |
Hum Is Qadar Bhi Nahi Apni Ana Ke Taba; Tum Pukaro Toh Sahi Laut Ke Aa Jayeinge! |
Samraj Ko Dost Hamare Dushman Hain, Inhi Se Aansu Aahen Aangan Aangan Hain; Inhi Se Qatal-e-Aam Hua Aashaon Ka, Inhi Se Veeran Umeedon Ka Gulshan Hai! |
Khwahish Aisi Karo Ki Aasman Tak Ja Sako, Dua Aisi Karo Ki Khuda ko Pa Sako; Yun Toh Jeene Ke Liye Pal Bahut Kam Hain, Jiyo Aise Ki Har Pal Mein Zindagi Pa Sako! |
Kal Par Hi Rakho Wafa Ki Baatein; Main Aaj Bahut Bhuja Hua Hun! |