Tere Jaane Ke Baad Kaun Rokta Humein; Jee Bhar Kar Khud Ko Barbaad Kiya Humne! |
Kahin Fisal Na Jaun Tere Khayalon Mein Chalte Chalte; Apni Yaadon Ko Roko Mere Shehar Mein Barish Ho Rahi Hai! |
Jis Tarah Se Badli Hain Haath Ki Lakeerein Nasir, Mausam Ko Bhi Iss Tarah Maine Badalte Nahin Dekha! |
Jiss Tarah Se Badli Hain Hath ki Lakirein Nasir, Mausam Ko Bhi Iss Tarah Maine Badalte Nahin Dekhaa! |
Hazaar Barq Giray Lakh Aandhiyan Uthen; Wo Phool Khil Ke Rahenge Jo Khilne Wale Hain! |
Tera Ghar Aur Mera Jungle Bheegta Hai Sath-Sath; Aisi Barsatein Ke Badal Bheegta Hai Sath Sath! |
Jo Khulus Se Milta Hai Baras Jata Hun; Main Barsaat Ka Ik Badal Aawara-Sa Hun! |
Barsaat Ka Mausam To Guzar Geya; Aankhon Mein Nami Magar Ab Bhi Hai! |
Barish Hui To Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye; Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye; Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Ki Chaah Mein; Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye! |
Andhera Bahut Ab Suraj Nikalna Chahiye; Jaise Bhi Ho Yeh Mausam Badalna Chahiye; Aur Jo Chehre Roz Badalte Hai Naqabo Ki Tarah; Ab Janaza Dhoom Se Unka Nikalna Chahiye! |