Unko Khabar Hai Mere Tute Armaano Ki; Aaj Jarurat Padegi Kanch Ke Pemaano Ki; Khali Na Hone Dena Jaam Yaaro; Warna Fir Se Yaad Aa Jayegi Gujre Zamane Ki! |
Beemar Ko Marz Ki Dawa Deni Chahiye; Main Peeta Hun Pila Deni Chahiye! |
Meri Tabahi Ka Ilzaam Ab Sharab Par Hai; Karta Bhi Kya Aur Tum Par Jo Aa Rahi Thi Baat! |
Kahin Saagar Labalab Hain, Kahin Khaali Pyaale Hain; Yeh Kaisa Daur Hai Saqi, Yeh Kya Taqseem Hai Saqi! |
Humein Malaamat Mili Saki Ke; Shamil Hue Tere Shab-e-Maikhane Mein! |
Maykhane Mein Kaise Bujhti Pyaas Meri; Inn Hothon Ko Talab To Tere Hothon Ki Thi! |
Peete Hain Sharab Hum Jinhe Bhulane Ke Liye; Woh Hi Aa Jaate Hain Yaad Humein Rulane Ke Liye! |
Woh Hathon Se Pilaye Toh Main Kya Karu, Woh Aankhon Se Pilaye Toh Main Kya Karu, Main Toh Peene Ka Bilkul Aadi Nahin, Jaam Khud Chal Ke Aaye Toh Main Kya Karu! |
Woh Cheez Jis Ke Liye Hum Ko Ho Bahisht Aziz; Siwaye Bada-e-Gulfaam-e-Mushq-Bu Kya Hai! Bahisht: Heaven Aziz: Beloved Bada-e-Gulfaam-e-Mushq-Bu: Rose Coloured Wine With Musky Fragrance |
Ya Haathon Haath Lo Mujhe Jaise Ki Maanind-e-Jaam-e-Mai; Ya Todi Door Saath Chalo, Main Nashe Mein Hoon! Maanind-e-Jaam-e-Mai: Like The Glass Of Wine |