Peete Hain Apne Maze Ke Liye, Khaamkhaan Badnaam Gham Hai, Poori Botal Pee Kar Dekho, Phir Duniya Kya Jannat Se Kam Hai! |
Peete Hai Gham e Duniya Bhulaa Ne Ke Liye, Aur Koi Baat Nahi; Jannat Main Kahan Gham Hai, Waha Peene Kaa Mazaa Nahi! |
Meri Kabar Pe Mat Gulaab Le Kar Aana; Na Hi Haathon Mein Chiraag Le Kar Aana; Payasa Hu Main Barso Se Jaanam; Botal Sharab Ki Aur Ek Glass Le Kar Aana! |
Jaam Peene Se Kya Fayda, Shaam Mein Pee Subha Utar Jaayegi; Arey Peeni Hai To Do Boond Mohabbat Ki Pee, Saari Zindagi Nashe Mein Hi Guzar Jaayegi! |
Mai-Khane Mein Kyon Yaad-E-Khuda Hoti Hai Aksar; Masjid Mein To Zikr-E-Mai-O-Meena Nahi Hota! |
Peeta Tha Jiske Saath Wo Saaki Bada Haseen Tha; Aadi Bana Kar Zaalim Ne Maikhana Badal Liya! |
Pehle Sharaab Zeesat Thi Ab Zeesat Hai Sharaab; Koi Pila Raha Hai Piye Ja Raha Hun Main! |
Kyon Intezar Karen Kisi Mehkti Hui Shaam Ka; Teri Nazron Se Hi Chalakta Hai Nasha Kisi Madira Ke Jaam Ka! |
Pi Liya Karte Hain Jeene Ki Tamanna Mein Kabhi-Kabhi, Kyonki Dagmagana Bhi Zaroori Hai Sambhalne Ke Liye! |
Lutf-E-Mai Tujhse Kya Kahun Zaahid, Haye Kambakht Tum Ne Pi Hi Nahi! |